dialogues for cast: Deven Verma
cast: Deven Verma
1
Ek din woh aaisa hungama karega aur unka blood pressure itna bad jayega ... ki sirf pressure hoga, blood nahi hoga
Insaan apni umar se, apne aaude se chota bada ho sakta hai ... lekin haqeeqat mein insaan apni bahaduri se, apne kaam se chota bada hota hai
Atyachari, durachari ... tu jaanta hai main hoon bal-brahmachari
Mujhpe aaisa aarop ... ab dekh mera prakop
Tum kya samajhte ho kanoon koi khilona hai, mujrimon ke samne bauna hai? ... arre ab toh wohi hoga joh hona hai
Makaan tha kabhi, ab khandar viran lagta hai ... tera thopda Panipat ka maidan lagta hai
Isko din mein dikh gaya tara ... kya kheench ke chaata mara
Zamanat ho nahi sakti, shanivar ko itvar ko ... main kisi ko chhod nahi sakta, na dost ko na yaar ko
Agar tumhare ishq ko koi laal jhanda dikhayega ... yakeen karo yeh ghalib unko dhanda dikhayega
Pajame ne kaha dhoti se ... bane hum dono ek dhaage se ... farak agar hai hum mein toh sirf itna ... tu khulti peeche se, main aage se
Jab tak chance rahega baki ... main nahi bandwaonga rakhi
Chand ki thandak bhi hai, ishq ki garmi bhi hai, farsh ki sakti bhi hai, jism ki narmi bhi hai ... thodi besharmi bhi hai
Kar liya bahut kuch maine ab aur kuch karne ko jee chahta hai ... maar diya bahuton ko maine, ab marne ko jee chahta hai
Duniya mein ek hi Majnu hai, duniya mein ek hi Laila hai ... ek haath mein glass pakado, doosre haath mein thaila hai
Log phoolon ki khushboo ko bhool jaate hai lekin kaanton ki chuban ko nahi bhoolte
Gaadi aur meri aadat kuch milti jhulti hai ... chalte chalte chalti hai aur rukte rukte rukti hai
Yeh kahan le aaye kaptan ... nazar aata nahi koi makan ... sirf kabristan kabristan
Bhagwan jisse kisi kaam ke liye pehda nahi karta na ... usse seth bana deta hai
Joh kabhi nahi daantte ... woh bahut sakht daantte hai
Begam tum hi toh mere Tansen ka tambura ho na ... joh har waqt mere dil mein bajta rehta hai
Duniya mein joh apni hasti bhool jaata hai ... duniya bhi uski hasti bhool jaati hai
Taar is majnoon ka aaya mujhe Holland se ... Sonia ji sair karke aa gayi England se
Humse poocho ki haqeeqat kya hai ... tum jisse apni mohabbat de do, usko daulat ki zaroorat kya hai
Poocha unse ishq kiya kya yeh koi paap hai ... usne kaha chup raho tere peeche khada mere baap hai
Tata aur Bata ko kabhi ghata nahi hua
Yaar ki mehfil mein kab ki patt chuki gandheriyan ... jhadoo lekar aaye hai shayad uthane bediyan
Dil ka sauda mehanga ho ya sasta ho ... yaar ke lab se gaali khalo baansi ho ya khasta
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
