dialogues for cast: Fardeen Khan
cast: Fardeen Khan
1
Dosti mein ek doosre ka fayda dekha jaata hai ... fayda uthaya nahi jaata
Kabhi kabhi do kahaniyan judh jaati hai aur ek nayi kahani banti hai ... aur kabhi ek hi kahani mein kahi choti choti kahaniyan chupi hoti hai ... lekin badi ho ya choti ... har kahani mein kahi chote chote modh, pal aur maiyne hote hai ... aur inhi se har kahani judhti hai, mudti hai, banti hai aur badti hai
Kuch rishte apni marzi se bante hai, kuch ban jaate hai ... lekin unka khayal hum mein hi rakhna padta hai ... unhe paalna padta hai ... so that they can grow
Joh nazar aata hai ... woh hamesha sach nahi hota
Mutra mukti karke aaon?
Raat ko halwa khakar karenge jalwa ... aur raat ko phir ice-cream khakar ... I scream then you scream
Gaye the dubane Titanic par na duba sake ek bhi naiyya ... misaal hi maarte reh gaye hamare Lucky bhaiya
Ek mahine se toh hai sookha, na jaane kahan saavan ki chhadi hai ... andar khatiya padi hai, bahar khatiya khadi hai
Agar meri jagah koi Laxman Prasad bhi hota ... toh is Rekha ke saath laxman rekha paar kar deta
Tu jab bhi aaise hasa hai ... hum mein se koi na koi phasa hai
Maane ki kasai se dosti karne se murgi nahi bachti ... par kasai apna dost ho toh kam se kam pyar se murgi toh katti hai
Aapka dimaag cassette ki tarah dono taraf chalta hai ... A side bhi, B side bhi
Har insaan achcha hota hai ... waqt usse bura banata hai
Bura waqt aur purane paap ... insaan ko hamesha dhoond hi lete hai
Main maarta jaonga ... tu harta jayega
Mohabbat mein hum jeeye hai jeeyenge ... woh honge koi aur marr jaane waale
Kahani ke anth mein sab thik ho jaata hai ... aur thik na ho toh samjho kahani khatam nahi hui
Kai baar logon ke liye yeh faisla karna mushkil ho jaata hai ... ki hamara dil bada hai yah hamara bungla
Ghar se door raho toh ehsaas hota hai ... maa kya hoti hai, ghar waale kya hote hai
Hello Mrs. Agarkar ... we all know you love purana cricketer Gavaskar ... but we are very very sorry to tell you there is no one greater than apna Sachin Tendulkar
Maa ke haath sirf aashirwad dene ke liye hote hai ... maafi mangne ke liye nahi
Pyar kya hota hai kisi ko seekhna ho toh ... Hindustanio se seekhe
Aadmi agar achche mann aur lagan se kaam kare ... toh nothing is impossible
Kabhi kabhi koi baat hum mein galat lagti hai ... aur kuch samay baad wohi hum mein sahi lagti hai
Zakhm gehra ho yah mamuli ... ab toh har zakhm achcha lagne laga hai
Haisiyat shakhsiyat se banti hai
Humko aata hi nahi maut se darna yaaron ... hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
Aurat ke pyar ko kabhi seene mein itni jagah mat do ... ke dil ke liye dhadakna mushkil ho jaye
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
