dialogues for cast: Farhan Akhtar
cast: Farhan Akhtar
1
Band banane ke liye tun-tune baaje na lagte hai ... bande lagte hai ji, joh ek dhun gaa sake
Bande qaid ho sakte hai ... soch nahi, sangeet nahi
Shehar chote hote hai ... sapne nahi
Tumhare andar joh sangeet hai woh bahut kam logon ko naseeb hota hai
Artist duniya se chale jaate hai ... lekin unka art unhe hamesha zinda rakhta hai
Tumhari awaaz bahut khoobsurat hai ... aur tumhare suron mein tumhari andar ki awaaz sunai deti hai
Tumhara music kisi aur ki music ki goonj nahi, tumhara apna hona chahiye
Tum itni smart hote hue itni stupid kaise ho sakti ho
Jab solution paas nahi toh problem se door raho
Birthday ka funda kuch aaisa hai ... aap khud isse agar value na do toh no problem ... lekin agar aapki family usse value na de ... big problem
Ek fool hi shaadi ko foolproof banane ki sooch sakta hai
Shaadi se zyada khatarnak hote hai ... shaadi ke side effects
Biwi apne pati ke bina reh sakti hai ... par apni bai ke bina nahi
Baby ki zimmedari uthana toh door ... main toh baby ko hi nahi utha pa raha tha
Zindagi mein aksar kuch zyada paane ki chah mein ... hum woh kho dete hai joh hamare paas hai
Doosron ke bachche aur kutton ke saath khelna sabko achcha lagta hai
Jab main galati karta hoon toh main sorry kehta hoon ... aur jab meri wife galati karti hai toh main sorry kehta hoon
Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti ... tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti ... jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh, awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh ... lekin joh yeh ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai ... khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo joh be-aawaaz hai ... jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai ... duniya se bhi chupta nahi, yeh jaane kaisa raaz hai
Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan ... sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan ... sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main ... apne hone pe mujhko yakeen aa gaya
Kya tum mantally challenged ho my bwoy?
Insaan ka kartavya hota hai koshish karna ... kaamyabi nakaamyabi sab uske haath mein hai
Dost mujhe Majnu bulate hai
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum ... hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho ... har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen ... joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
I don't believe in destiny ... I believe in me
Mauke milte nahi, banaye jaate hai ... kaamyabi hum tak nahi aati, hum mein kaamyabi tak jaana hota hai
Kaamyabi aur nakaamyabi ... insaan khud hi chunta hai
Apne raaste par chalte raho, chalte raho ... dheere dheere sari duniya tumhare raaste par aa jayegi
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
