dialogues for cast: Johnny Walker
cast: Johnny Walker
1
Aadmi aaj ke zamane mein apna pet khud paal le ... wohi raja hota hai
Kastoori ki mehak aur bhookhe ka chehra ... chupaye nahi chupta
Agar dukh na ho ... toh aane wale sukh ka aadmi maza bhi nahi le sakta
Jab mann mein pachtava aata hai toh saare paap dhul jaate hai
Marte marte chela guru ko jeena sikha gaya
Haaye, nazar toh barood hai bilkul ... sach kehta hoon yehi nazar meri chitta par daal dena ... bagair lakdi ke bhasm
Tel mein woh baat kahan joh is meethi muskaan mein hai ... tel toh sirf diye ki loh bhadkata hai ... aur yeh meethi muskaan toh dil mein jwalamukhi bhadka deti hai
Hazaron beh gaye in botalon ke bandh pani mein ... glasson mein joh doobe phir na ubhare zindagani mein
Hirani jaisi chaal, khile phool jaise gaal, uspar sitam yeh ki sunhare baal ... arre phir kyun na ho bura haal ... malik vaake hi tune kiya kamaal
Ranjhe ka dil pehlu se satka, Heer ki zulfon mein jaa atka ... lekar soti hum joh satke, maa ko teri behad khatke
Sitaare doobte jaate hai hookah pee raha hoon main ... har ek dum par chillum ki aag madham hoti jaati hai
Har daffa khaya hai milkar thappad tujhse ... mere mehboob kahin aur mila kar mujhse
Jabse thappad maine khaya, ek aafat ho gayi ... aye but-e-kafir mujhe tujhse mohabbat ho gayi
Himmat-e-marda toh madad-e-khuda ... aur inko de mila, na kar juda
Joh main khana chahta hoon woh bazar mein milega nahi katan ... agar mangva sakte ho, do char mann gham mangvao foran
Zindagi se joh kasmasaya ho ... jisko marna hi raas aaya ho ... woh but-e-bewafa se pyar kare jisko kutte ne kaat khaya ho
Mujhe gham khilao, mujhe aasoon pilao ... taaki mere johar par nikhaar aaye ... naqad nahi toh udhaar aaye
In cheezon se bhar chuka hai pet-e-natamam ... ab toh kuch aur hi khane ko jee chahta hai
Dono jahaan teri mohabbat mein haarke ... woh chal diya bechara baithakke maar maarke
Main bolonga toh bologi ki bolta hai
Deewana banana hai toh deewana bana de ... varna kahin taqdeer tamasha na bana de
Pet ki awaaz ke samne aatma aur parmatma dono ki awaaz gayab ho jaati hai
Tarakki karne waala ek hota hai aur uske dushman hazaar hote hai
Bekaar aadmi phatte huye tube ki tarah hota hai ... lekin mushkil toh yeh hai ki tube ka puncture phir bhi judh sakta hai ... lekin bekaari ka puncture nahi judhta
Na hui sard dil ki lagi ... barf mein bhi laga ke dekh liya ... itna sher garam tha ... magar barf mein daal ke thanda kar diya
Ishq toh sabhi karte hai ... lekin sabka kurta pyjama, coat patloon nahi ban jaata
Badli joh nazar toh shakal bhi pehchante nahi ... aur huzoor yoon dekhte hai guyub kuch jaante nahi
Uff karke dum-ba-khud tera deewana ho gaya ... do harf they ke jiska yeh afsana ho gaya
Mohabbat mein joh sach poocho toh khali naam milta hai ... magar woh waqt aaya hai ke inaam milta hai
Dard uthta hai muskurata hoon, ashq aate hai par nahi rota ... aur khwaab nahi aaye koi, is liye raat bhar nahi sota
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
