dialogues for cast: Kader Khan
cast: Kader Khan
Aaj jurm ko nahi roka gaya toh kal bilkul nahi rukne payega ... agar abhi nahi pakde toh phir pakadna mushkil ho jayega
Tum ek number ke chor, luchche, lafangey, bhagode ho ... desh ke jawano ke naam pe kalank ho ... zeherilay saanp ka dank ho
Main iski daulat nikalna chahta hoon ... noton ki deewar banana chahta hoon ... us mein noton ki chhat, noton ki farsh, noton ke furniture, noton ka choola, noton ke bartan ... note pakayenge, note khayenge aur phir us mein hum note ki tarah chipak jayenge
Teri kahani se mujhko ek sabak mila hai ... ke waqt se pehle aur taqdeer se zyada kisko mila hai ... uska insaaf dekh ke yeh lazmi hai yeh kehna ... waah tera kya kehna, waah tera kya kehna
Tere farz ne hum mein hazaar janam ke liye tera karzdaar bana diya
Mana ki duniya mein karodon bache aise hai jinke maa baap nahi hai ... magar is duniya mein karodon maa baap aise bhi hai jinki koi aulad nahi hai
Abhe oh dukkar Fiat ke cancelled model
Mereko damaad thoda hatke chahiye ... aaisa jisko dekh ke public sadak pe se hat jave ... police station se police hat jave ... aur mahulle mein se bade se bada gunda phut jave
Yeh kaisa locha kiya tune mere pyar ka ... maal toh bika nahi bill chad gaya udhaar ka
Main usko pencil ki tarah cheel daloonga ... uske tukde tukde kar daloonga ... uske tukde kutton ko khilaonga aur kutte billiyon ko khila daloonga
Insaan is duniya mein insaan bankar rahe ... yahi uske liye kaafi hai
Beti ki shaadi baap ke liye swarg jaane ki seedi hoti hai
Ladkiyon ka asli ghar unka mayka nahi ... unka sasural hota hai
Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Main chota aadmi hoon ... mere pair zameen pe hai, mera sar mere kandhon par hai ... aur mere dimaag ke andhar meri aukaat tolne ka tarazu laga hua hai
Jhoot ki umar bahut kam hoti hai ... jhoot jiye char din aur sach jiye hazaar din
Uparwaale ne daulat aur khane ka muqaddar alag alag kaagazon pe likha hua hai ... jisko daulat zyada deta hai uska khana kam kar deta hai ... jisko khana zyada deta hai uski daulat kam kar deta hai
Dushmani toh aag ki tarah hoti hai ... jis mein jalne waala toh jalta hi hai ... magar jalane waale ko bhi shanti nahi milti hai
Woh aur zakhm hote hai jinhe waqt ka marham bhar diya karta hai ... magar pehle pyar ka zakhm duniya ka koi marham bhar nahi sakta hai
Jis uljhan aur pareshani par insaan ka zor na chalta ho ... usko kudrat ke hawaale kar dena chahiye
Daulat ka kya hai, woh toh aati jati rehti hai ... magar beti toh ghar ki izzat hai ... aur izzat ek baar chali jaye toh woh laut kar vapis nahi aaya karti
Buraiyon se ladte ladte joh log mar jaate hai ... unki maut ko maut nahi ... shahadat kaha jaata hai
Zindagi imtihan leti hai aur joh aadmi us imtihan mein first aata hai ... woh asli hero kehlata hai
Zindagi toh khuda ki rehmat hai ... joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai
Auron ke liye gunaah sahi ... hum piye toh shabaab banti hai ... arre sau ghamo ko nichodne ke baad ... ek katra sharaab banti hai
Jawan beti ka baap Taj Mahal ke chaukidaar ki tarah hota hai ... usko hamesha darr laga rehta hai ke kisi gande aadmi ke haath se Taj Mahal ganda na ho jaye
Paise ke pair mein paiye lage hote hai ... woh kabhi bhi khasak jaati hai
Tera mooh baatein karta hue achcha nahi lagta hai ... Fevicol dhal uske andhar
Sari duniya ke bache jab pehda hote hai toh maa maa karke rohte hai ... yeh gadha cinema cinema karke roh raha tha
Duniya mein aadmi ki nahi ... uske kapdon ki, uske dhan ki kadar hoti hai
Zinda rakhna chahe woh toh koi fanaa kar nahi sakta ... aur in gunehgaron ko aaj tabahi se koi bacha nahi sakta
Ek baar apne jism par hamla bardaash kar sakta hoon magar ... mere dil par joh hamla karega, main usse kabhi maaf nahi karoonga
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
