dialogues for cast: Manish Chaudhary
cast: Manish Chaudhary
1
Pyar badi harami cheez hoti hai ... kisi ke marne ki wajah hi nahi ... maarne ka maqsad bhi dhoond hi leti hai
Himmat toh josh mein aakar koi bhi dikha sakta hai ... par sabar se kaam lena yeh har kisi ke bas ki baat nahi hai ... aur yahi fark hai ek amateur aur ek professional ke beech
Mann ka ho toh acha ... na ho toh aur bhi acha ... kyun ki woh eeshwar ki marzi hai
Footpath pe sangemarmar chadhane se woh Taj Mahal nahi ho jaata ... footpath hi rehta hai
Yeh pyar naam ka virus hota hi bada gadbad hai
Imaandari insaan ko footpath pe leke jaati hai
Zero bhi bade kaam ki cheez hoti hai ... agar use karne waala uski value pakde ... sahi jagah par laga do, toh saale ko jitni baar lagaoge ... utna hi fayda hoga
Har aadmi mein do tarah ki quality hoti hai ... upar le jaane waali aur neeche le jaane waali ... aur dono mein se joh quality jeet jaati hai, woh vaisi zindagi jee jaata hai
Jab khoon pasina ek saath kagaz par chapta hai na ... table bed ban jaati hai aur office ghar ... bhook pyas bhool jaati hai ... baal bachche rul jaate hai ... tab jaake saali company banti hai
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
