dialogues for cast: A. K. Hangal
cast: A. K. Hangal
1
Darro mat ... main Mahatma Gandhi nahi hoon
Masle hal hote hai pyar se, vishvas se, aman se
Jab jab dharti par paap badha ... tab tab uska vinaash karne ke liye swayam Krishna ne janam liya
Dil ki awaaz dil se suni jaati hai
Zindagi mein kabhi na kabhi toh samjauta karna hi padhta hai
Kanoon ki talwar se kanoon ka hi khoon kiya tumne
Agar zulm karna paap hai ... toh zulm sehna bhi paap hai
Jab raajneeti pesha ban jaati hai, vyapar ban jaati hai ... toh kursi desh se badi ho jaati hai
Mazaa toh jab hai aa jaye kahin unki tabhiyat bhi ... zara woh bhi toh jaane karvatein kyun kar badalte hai
Kya husn ne samjha hai, kya ishq ne jaana hai ... hum khaak nasheeno ki thokar mein zamana hai
Pyar, khansi aur khushi ... chupaye se chupte hai kya
Sach darrawana nahi hota, ghinawana nahi hota ... sach toh hamesha shubh hota hai
Izzat ki maut zillat ki zindagi se kahin achchi hai
Itna sannata kyun hai bhai?
Shaadi ka matlab sirf saat pheron ka bandhan nahi ... do aatmaon ka atoot mishran hai, joh sahyog se banta hai, prem se banta hai
Yeh raajneeti ke chakkar toh bas do kisam ke logon ko raas aate hai ... ek toh woh jinke ghar khane peene ki fikar na ho ... aur doosre woh jinke ghar khane peene ko kuch na ho
Koi ladki dabaav mein aake, darke, majboor hoke, ghabrake agar hui ho nikaah par raazi ... shaadi jayaz nahi hai woh qazi
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
