Dialogues for Cast - Manoj Kumar - PartyStuff

dialogues for cast: Manoj Kumar

cast: Manoj Kumar
1 (of 1 pages) | 31 (of 31 items)
1
Kharbuja, kharbuje ko dekh kar rang badalta hai
Zindagi ek paheli hai ... kabhi dushman, kabhi saheli hai
Deshwasi ke seene se goli paar nahi hoti ... vapas jaati hai
Zulm aur jhoot ki dhaali par ek baar phal lagta hai ... dobara nahi
Science ka har ek naya experiment, har ek naya tajurba ... ek chamatkar hota hai
Joh Baba ki taraf ek kadam badata hai na ... Baba uski taraf dus kadam badate hai
Meri janam patri, meri kundli, yeh degree hai ... aur iski kismat mein kitne rahu hai kitne ketu, yeh koi jyotshi nahi jaanta
Khushi ke mauke par dard bhara geet chedna ... badi manhoos si baat hoti hai
Pyar ki kahani ek aisa pinjra hai jis mein mann ka panchi pharphara toh sakta hai ... magar nikal nahi sakta
Apne yahan ki mitti ki khushboo hai na ... woh toh ajnabi logo ki saanson mein bhi sanskar bhar deti hai
Saari ka kaam khoobsurati ko chupana nahi ... ubhaarna hai
Insaan is duniya mein chaar din ki zindagi guzaarne aata hai ... lekin chaalis din ka gham usse gehre rakhta hai
Aap hamare paseene se logon ka khoon chooste hai
by: Manoj Kumar
from: Upkar (1967)
code:
Vishvas toh ek aaisa bandhan hai ... joh ek insaan ko doosre insaan ke kareeb lata hai
by: Manoj Kumar
from: Upkar (1967)
code:
Zameen toh maa hoti hai ... aur maa ke tukde nahi kiye jaate
by: Manoj Kumar
from: Upkar (1967)
code:
Kasam lelo joh mehfil mein tumhe danista dekha ho ... nazar aakhir nazar hai beirrada uth gayi hogi ... tajub kya lagi agar aa gaye Meena ji seene mein ... hazaron dil mein angaray bhare the, dab gayi hogi
Jab aap chalti hai toh raaste ke patthar bhi phool ban jaate hai
Ameeri aur gareebi ke darmiyan yeh joh fasla hai na ... yeh sadiyon se badta hi ja raha hai ... isse koi kam na kar saka
Sach joh kisi ki jaan lele ... usse kahin achcha hai woh jhoot joh kisi ko maut ke mooh se bacha le
Naukri milne ke baad kaam rahe na rahe ... lekin naukri dhoondna bahut bada kaam hai
Humko toh gardish-e-haalat pe rona aaya ... rone waale tujhe kis baat pe rona aaya?
Kahin sher aur nagma bankar, kahin aasoonyon mein dhalkar ... woh mile mujhe toh e-dil, kahin sooratein badalkar
Joh insaan ki maut marna nahi jaanta ... yeh duniya usse insaan ki zindagi jeene nahi deti
Duniya ke barbaadi ki jadh hai ... ek insaan ka doosre insaan pe hukumat karne ka shauk
Jab jab insaan ke haath nek kaam karte hai ... unhe jalna padta hai, chaale padte hai ... phir aaise hi haathon par pyar ka marham lagta hai
Duniya abhi tak woh bandook nahi bana saki joh sachai ka khoon kar sake, nekki ko khatam kar sake
Ek achche hospital ke liye sirf pakki imaarat aur chamakte hue furniture ki zaroorat nahi ... zaroorat hai to kaam karne waale haathon ki aur mehsoos karne waale dil ki
Raat mein soote hue joh sapne aate hai, woh sache nahi hote ... lekin din mein jaagte hue joh sapne dekhe jaate hai, woh hamesha sache hote hai ... kyun ki unka doosra naam hai irrada
Ab hamare darmiyan sirf ek parda hai joh saaya banke haqeeqat ko chupaye huye hai ... aur woh parda tum ho ... tum ho, tum ho, tum ho
Sab cheezein intezaar kar sakti hai ... magar ek khoobsurat ladki ko kisi ka intezaar nahi karna chahiye
Lipat jaate hai woh bijli ki darr se ... ilahi yeh ghata do din toh barse
1

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.