dialogues for cast: Pankaj Tripathi
cast: Pankaj Tripathi
1
Kitaabein ho ya armaan ... samne wale ko qadr na ho toh raddi hi hote hai
Jab poori duniya karvat le rahi thi toh hamaro sanatan Hindu dharam daud riha tha
Jiski raksha ke liye joh chaal badal de kaal ka ... koi uska kya bhigade joh bhakht ho Mahakaal ka
Joh chand ko chhune ki chah rakhta hai ... wohi sitaron tak pahunchta hai
Yeh karza joh hai na kutte paalne jaisa hai ... kehne ke liye suraksha karta hai ... par roz bow-bow karke roti maangega ... aur joh ek din roti na do na toh kaat dega yeh
Ramji ke liye aasaan tha Ravan ko maarna ... uska dus maatha tha par dikhta tha ... yahan system ke Ravan ka naa jaane kitna maatha hai, kitna munh hai, kitna aankh hai ... aur jab bhi koi munh kholta hai toh gareeb ki bali maangta hai ... uska adhikaar cheenta hai ... kaise lade is system se
Jiske haath mein nyay dene ka aadhikar ho aur nyay na de ... woh hoth hai asal mritak
Yeh duniya ek akhada hai ... jhe ma sach aur jhooth naam ke dui pehalwan lad rahe hai ... aur jab tak sach naam ka pehalwan jhooth naam ke pehalwan ko pachaad nahi deta ... tab tak yeh ladai jaari rahegi
Yeh world hai na world, is mein do prakaar ke log hote hai ... ek woh joh galat kaam nahi karte aur pakde bhi nahi jaate ... aur doosre woh joh galat kaam toh nahi karte, par bechare phir bhi pakad liye jaate hai
Behtar yehi hoga ki khud hi surrender kar do ... nahi toh humne pakda na ... toh itne lambe ke liye andar dalenge ki khandan tumhi pe khatam ho jayega
Acting kya hai, oxygen hai ... uske bagaira mar jayenge
Main fan ke dil mein aata hoon aur dushman ke dimaag mein
Tumhe maar nahi rahe hai, mukht kar rahe hai ... yeh shareer tyaag do aur phir naye body mein pravesh karo ... make a fresh start
Yeh duniya kitni mushkil hai auraton ke liye ... par uska hal pinjre mein qaid ho jaana nahi hai ... pinjra todke udh jaana hai
Joh log mehnat ka saath nahi chhodte ... kismat kabhi unka haath nahi chhodti
Agar tum apne kaam mein imaandaar ho ... toh desh ke saath gadaari kar hi nahi sakti
First time dekha tujhe love ho gaya ... second time mein sab ho gaya
Har ek nabz kala ke liye dhadakti hai ... dawa bhi woh joh jale par namak chidhakti hai
Baba matlab note jhapat ... dikha jannat ka shortcut
Shudh shakahari, dal bhaat tarkaari ... sab maal sarkari
Yahan kabootar bhi ek pankh se udhta hai ... aur doosre se apna izzat bachata hai
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
