dialogues for cast: Pran
cast: Pran
Shaadi karne ka sirf ek hi faiyda hai ... ki agar aadmi markar narak mein bhi jaaye ... toh lagta hai swarg mein aa gaya
Tum gareeb ki izzat cheen sakte ho ... uski kismat nahi
Jis din kisi ghar ki deewaron ke kaan nikal aate hai ... us din us ghar ki buniyaad mein dimak lag jaati hai
Huye tum dost jiske ... uska dushman aasman kyun ho
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai ... kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de ... aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye ... yeh hum bhi nahi jaante
Hamare business ka ek ussool hai ... ke rupiya do toh ginn ke do, rupiya lo toh ginn ke lo
Beti ke rishtey kaanch ka khilona nahi hote ... jinse dil bahel gaya aur todkar ghar ke bahar phek diya
Jab hamari tarah pachpan ke ho jaoge ... toh aaisa bachpan ka sawaal nahi karoge
Hamare dil mein chupe nafrat ke angaaron aur hawa na de ... varna tu is aag mein jalkar raakh ho jayega
Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega
Anjaam unka wahi hoga joh tu chahta hai ... lekin hoga vaise jaise hum chahte hai
In doctoron ke chakkar bhi ajeeb hote hai ... jinke paas kuch nahi hota, unhe kehte hai phal khao, makhan khao, badam khao ... aur jinke paas sab kuch hota hai, unhe kehte hai ki yeh mat khao woh mat khao
Jis tarah ghoda dabakar bandook se goli bahar nikaal dete hai ... ussi tarah galati manane waale ke sar par haath pherkar hum purani baaton ko dil se nikaal dete hai
Sachai apna saboot kudh hoti hai
Zakhm dene waala bhi wohi hai, bharne waala bhi wohi hai ... insaan toh sirf marham rag sakta hai
Chaand ko apni chaandni sabit karne ke liye ... chiragon ki shahadat ki zaroorat nahi padhti
Khoon bahana bahut aasaan hai ... lekin khoon ko bachana bahut mushkil hai
Adaalat shaq par nahi ... yakeen ki buniyaad par faisla karti hai
Aaj ki duniya mein agar zinda rehna hai ... toh duniya ke button apne haath mein rakhne parte hai
Joh zanjeeron mein jakde hote hai woh hamesha gaddar nahi hote ... aur joh oonchi kursiyon par behte hote hai woh hamesha wafaadar nahi hote
Main teri maut itni kharaab kar doonga ... ki tujhe dekh kar maut ka farishta bhi kaanp uthe
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Main ki main ko chhod de ... main na kisi ki hove ... joh marzi bhagwan ki ... woh tere sang sajoye
Maut ka ek waqt hota hai ... na woh pal bar pehle aa sakti hai, na pal bar baad
Hum apne dhande mein jis kisike saath taluk rakhte hai ... uski agli, pichli, sari zindagi ka hisaab kitaab apni kitaab mein rakh lete hai
Kapde badalne se aadmi ki asliyat nahi badal jaati
Samajhte ho ki sab samajhta hoon ... isse badhkar insaan ki nasamajhi aur kya ho sakti hai
Bhagwan kuch bhi nahi ek insaan hai joh mahaan hai ... bhakti kuch bhi nahi ek shakti hai ... karam kuch bhi nahi ek kartavya hai ... prem kuch bhi nahi ek anand hai ... yeh anand agar tumhe prapt karna hai toh tumhe usse, mujhse, har ek se prem karna hoga
Aurat ko apna maan, bhakt ko uska bhagwan, gareeb ko uski aan aur amir ko uski shaan ... bahut pyari hoti hai
Log jab kamyabi ke ghode par savaar sone ki bani hui sadak par daudte hai ... toh woh yeh bhool jaate hai ki yeh sadak jail ki kaal kothri mein khatam hoti hai ya phansi ke takhte par
Joh ladka ladki ki kare hifazat ... usse shaadi ki hai ijazat
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
