Dialogues for Cast - Rajendra Kumar - PartyStuff

dialogues for cast: Rajendra Kumar

cast: Rajendra Kumar
1 (of 1 pages) | 24 (of 24 items)
1
Zindagi mein yahi tamanna bhi thi hamari ... ki jab bhi pyar karenge ya toh taaron ki chaon mein ya talwaron ke saaye mein
Ya rab tu apni jannat ko rehne de apne paas ... humne zameen pe kar liya jannat ka nazara
Hamari shayari mein apne husn ka rang bhar do ... hamari awaaz ko apni adaon ka saaz do ... hamare tassavur ko zindagi bhaksh do
Sau baar jahannam mein jalana ya rab ... jee chahe toh phansi pe chadana ya rab ... mashooq kahe humko buzurg ... woh din na dikhana ya rab
Yeh nazar unki nazar se aaisi takrayi ki bas ... hosh rukhsat ho gaye woh bekhudi chai ki bas ... zulf bikhri aur lipatkar mere dil se reh gayi ... meri duniya khushbuon se aaisi mehakai ki bas
Meri mohabbat ka tum yakeen karlo ... kahin na umar guzar jaye aazmane mein
Pooche joh koi mujhse bahaar kaisi hoti hai ... naam tera leke keh doon yaar aaisi hoti hai
Zindagi ki har badi ladai insaan apne aap se hi ladta hai ... apne hi andar insaan Mahabharat jaisi kahi ladaiyon se guzar jaata hai
Jab bhi hamari tumhari mulaqat hoti hai ... koi na koi baat zaroor pehda hoti hai
Aye meri jaane-jigar, patthar ka seena cheerkar, sari deewarein todkar, sabko akela chhodkar ... toofano se lad jaonga, tujhko magar le jaonga aur apne ghar jake garam garam chai pilaonga ... aur reh jayenge sab taapte, ek dujhe ka mooh taakte ... band karke raste aur tumhare vaste gajar ka halwa laonga
Wahan ka zarra zarra apni halat par salamat hai ... tumhare ek na hone se wahan lekin qayamat hai
Insaan yaadon ke sahare nahi, umeedon ke sahare jeeta hai ... log mitt jaate hai, zindagi nahi mitati ... woh hamesha aage badti rehti hai, kisi naye sahare ke umeed mein
Jawani ka mausam zindagi bhar nahi rehta ... jab tak hai aao dhoom machate hai
Joh kho diya uska gila nahi mujhe ... joh kabhi pa saka tha bas uska naaz hai
Jiske paas hunar ki daulat ho woh kisi daulat ka bhookha nahi hota
Aaj tak mujh mein sach kehne ki shakti nahi thi ... aur aaj tum mein sach sunne ki shakti nahi hai
Husn ki shaan mein ho jaye na kuch gustakhi ... tum chale jao, tumhe dekh ke pyar aata hai
Daulat gareebi ki taraf dosti ka haath toh bada sakti hai ... magar usse gale lagate hue hich-kichati hai
Nazar ke milte hi hosh-o-awaaz kho behte ... yeh ibtida hai toh kya hogi intehaa meri
Insaan ki izzat jab jaati hai jab woh sachai aur imaan ka daaman chhod deta hai ... insaan ki izzat jab jaati hai jab woh apne zameer ko bech deta hai, insaaniyat ko bech deta hai, sharafat ko bech deta hai ... eent aur patthar ke bane huye makaano ke bikne se insaan ki izzat nahi jaati
Cash ke maamle mein tajurbe se zyada imaandari ki zaroorat hoti hai
Insaan jab rota hai na toh akela rota hai ... aur jab hasta hai toh sari duniya uske saath hasti hai
Kabira khada bazaar mein, sabki maange khair ... na kahu se dosti, na kahu se bair
Jinka intezar hota hai woh kahan milte hai ... aur jinko khawab mein bhi na socha ho woh baar baar milte hai
1

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.