dialogues for cast: Rajinikanth
cast: Rajinikanth
1
Number one number two sab bachon ka khel hai ... I'm the only one ... super one
Maut se zinda lautne ka alag hi maza hai
Sar jhukakar, jee malik bolkar khada ho jaata hai ... aisa kabali samjha hai kya ... kabali hai yeh!
Sapne mein chahe jitni bhi taqleefein ho ... aankh khulte hi sari taqleefein mitt jaati hai
Main kisi kaam mein utar gaya toh poora kiye bina nahi chhodta ... aur naa hone waala kaam leta hi nahi
Aankh, kaan, naak, mooh, dil, dimaag, haath, pair ... yeh saare purze milkar jis kaam par mehnat karte hai ... us hi ko chori kehte hai
Kisi bhi cheez ki kamyabi mein saath toh bahut log dete hai ... lekin uski wajah banta hai ek dushman
Agar khud samne aa gaye toh bina dard ki maut doonga ... aur agar maine tumhe pakda toh woh maut badi khatarnak hogi
Manushya ki banayi hui do hi cheez kamaal ki hai ... ek main doosri tum
Kis liye lade jung, kis liye hai yeh hathyaar ... dushmano ko bhi bana de dost, aisa hai yeh pyar
Main dikhta ek insaan hoon par hoon ek machine
Speed one terahertz, memory one zettabyte
What Bharat thinks today ... world thinks tomorrow
Jhund mein toh soovar aate hai ... sher akela hi aata hai
Gore rang pe agar kaala til padh bhi jaye toh usse khurajkar nahi mitaya jaata ... balki log uska aur ehsaan mante hai ... is liye ki woh buri nazar se bachata bhi hai
Samundar ke kinare rehne waala nadiyon se nahi darte ... aur na keechad mein palne waala khoon ke cheeton se bhaagte hai
Revolver se zyada khatarnak cheez agar koi hai ... toh woh hai tumhari aankhen
Har ek aashiq ke dil mein darr hai apna ... ki har mashooq ab dilbar hai apna ... hatheli par liye phirte hai sar hum ... haseeno ke dilon mein ghar hai apna
Understand ... you better understand!
Aaj ke baad kisi imaandar officer ko baimaan banane ki koshish mat karna ... varna kisi din kisi imaandar officer ki khopdi ghum gayi ... toh woh sari ki sari goliyan teri khopdi ke aar-paar kar dega
Main shaq ki buniyad par case ka panna kholta hoon ... aur usse yakeen mein badalkar kitaab bandh kar deta hoon
Jis tarah zameen par pair rakhe bagair insaan chal nahi sakta ... us hi tarah mujrim kanoon se bhaag sakta hai, lekin bach nahi sakta
Aaj Sunday hai, toh daru peene ka din hai
Sharifon ko lootna baimaani hoti hai ... aur baimaanon ko lootna chalaaki
Har paida hone waale ko marte waqt kafan pehenna padta hai ... vaise hi har kaale dhande karne waale ko hathkadi pehenni padti hai
Jab tak tum jaise log is desh mein zinda hai ... tab tak sach bolne waalon ka dum ghutta rahega, hinsa ka gala dabta rahega ... lekin mere jeete jee main yeh nahi hone doonga ... main tum logon ke haath kaat daalonga aur gala ghoot doonga
Ek maut tere gunaahon ke sazaa ke liye kaafi nahi
Kanoon itna maila hai ... ki usse apne haath mein lekar main apna haath ganda karna chahta bhi nahi
Maine usse maara bhi nahi ... aur maar bhi dala
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
