dialogues for cast: Raza Murad
cast: Raza Murad
1 2
Maratha sultanat mein agar Chhatrapati Shivaji aur Shambhuraje ke baad koi hai, toh woh sirf Baji hi Baji hai ... baaki toh sab bajhi hai
Badla aur guroor agar samundar ko banjar rann bana sakte hai ... toh aashiq is banjar mitti mein bhi phool khila sakte hai
Insaan duniya ki har jung jeet sakta hai lekin ... maut ke aage usse haarna hi padta hai
Jurm ki duniya mein wafaadar dost ... kabhi bhi gaddari kar sakta hai
Is duniya mein aadmi joh sochta hai woh hota nahi ... aur joh hota hai woh usne socha nahi hota
Mujhe dokha dene waala mujhe nahi balki ... apni zindagi ko dokha de jaata hai ... is duniya ko aakhri salaam keh jaata hai
Faanoos banke jiski hifaazat sarkar kare ... woh mantri kyun mare, jiska ilaaj poora aspataal kare
Woh aaye ward mein hamare Sahil ki harkat hai ... kabhi hum unke plaster ko, kabhi apni pattiyon ko dekhte hain
Aukaad kya hai tum jaise tinke ki, aandhi toofan ke bhi rukh modh diye jaate hai ... jin mein ho jaata hai andaaz-e-khudai pehda, humne dekha hai ki woh bhut todh diye jaate hai
Yahan tel bhi hai, adalaton mein bail bhi hai ... Kashmir aur Taj Mahal ke saath, suna hai Tihar jail bhi hai
Ladkiyan kapdo ki itni deewani hoti hai ki agar unka bas chale ... toh kafan mein bhi chand sitare dhakava le
Barood ke dher par beth kar aag ka khel nahi khelte
Main uske jism par itne zakhm kar doonga ... ki sirf zakhm hi zakhm nazar aayenge ... jism nahi
Meri aankhon ko gaur se dekh ... in mein tujhe teri chitta ki jalti hui aag dikhai degi ... tujhe teri astiyon ki raakh dikhai degi ... teri zindagi ko maine jis khaak mein mila diya tujhe woh khaak dikhai degi
Jinke haath khud khoon se range ho ... woh doosron par ungli nahi uthate
Tumhare Jagatpal uncle ne zindagi ka bhoj kam aur laashon ka bhoj zyada uthaya hai
Agar mujhe woh heere nahi mile ... toh main tum dono ko zameen mein aadha zinda ghaadkar ... aadha hissa bomb se uda doonga
Wafaadari par note ke dher lagata hoon ... toh gaddari pe gaddaron ke seene par maut ke medal bhi laga deta hoon
Nishana meri pistol ka hi nahi ... meri dimaag ki soch ka bhi bahut pakka hai
Ghar ka doodh chahe jitna shudh ho ... baazar ki chai peene ka kuch mazaa hi aur hota hai
Jab bhi hum koi khel khelte hai ... toh saare mohron ko apni ungliyon par nachate hai
Jitna bada aadmi, utna hi lamba intezaar
Baap, baap hota hai ... beta dus janam lene ke baad bhi baap ka baap nahi ban sakta
Aaj maut ka vyapaari ... zindagi ka chaukidaar ban gaya
Tum jaise neta randiyon se bhi bhattar hote hai ... woh bhi itni jaldi apne dalle nahi badalti ... jitni jaldi tum log apni party badal lete ho
Woh marega ... aur uski laash par khada hokar main is shehar ka sabse bada Don banooga
Bachpan jitna baap ke liye tarasta hai ... usse kahi zyada budhapa apni aulad ke liye tadapta hai
Dukh ek aaisi cheez hai ... usse jitna mehsoos karoge, woh utna hi badega
Gussa ek bahut badi daulat hoti hai ... usse bhi sooch samajhkar karch karna chahiye
Kal uske jism ki har haddi toot chuki hogi
Usse yeh kaho ki un raasto par chalna chhod de ... jahan par hamari hone waali bahu chalti hai
Katal karna hamara dhanda hai ... aur yeh kaam bhi hum muft nahi karte
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
