dialogues for cast: Saeed Jaffrey
cast: Saeed Jaffrey
1
Insaan paison se nahi ... parvarish se bada hota hai
Yeh kaide kanoon ... hum gareebo ko insaaf dilane ke liye nahi ... balki ameero ki sahuliyat ke liye hai
Yeh dastarkhwan ek aaisi jagah hai ... jahan do insaan saath baithkar rotiyan todhte hai aur dil jodhte hai
Aaj tune is dua dene waale dil ki bhi bad-dua le li ... aur ab tujhe koi nahi maaf karega
Tum hamari sari daulat lootkar le jaate toh hum mein koi gham nahi hota ... tumne hamare pariwar ka pyar aur vishvas loota hai ... khoon kiya hai tumne hamari bhavnao ka
Peetal par sone ka pani chadene se ... peetal sona nahi ban jaata
Apne zulm ki takat par itna naaj na karna ... kyun ki tumhari napak hasti ko nestonabud karne waala paida ho chuka hai
Mere maula kab talak gussa na unpar aayega ... zaalimon pe rehman aakhir kab talak farmayega ... kab talak hote rahenge bekason pe zulm aur sitam ... kab talak yeh khooni manzar bas tu dekhe jayega
Jise main jigar ka tukda samjhta tha, usne mere jigar ke tukde tukde kar diye ... jise main aankh ka tara samajhta tha, usne badnaami ka kajal banke mera mooh kala kar diya
Aaj kal maar se nahi, maal se kaam chalta hai
Kutta bhi lakh bura ho ... wafaadari nahi chodta
Bazaaru cheezon se ghar sajaaye jaate hai ... basaaye nahi
Angdhai na lena aaise haathon ko uthakar ... seene se tere dekh dupatta na satak jaye
Joh mazaa apne bete ko jawan hote dekhkar aata hai ... woh apni jawani mein bhi nahi aata tha
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
