dialogues for cast: Shatrughan Sinha
cast: Shatrughan Sinha
Nyay aur dharam ke liye yudh karna hinsa nahi ... veerta hai
Jiski mrityu ka samay nahi aata ... usse koi nahi maar sakta
Shareer nashvar hai ... aatma amar hai
Gundaraj ka khaatma wahi kar sakta hai ... joh state ka sabse bada gunda hai
Aaj main sarkar nahi ... super sarkar hai
Tum achcha kaam karne waala ek bura insaan hai
Haathi agar chinti ke upar pair rakh de toh chinti marta nahi ... usse masalna parta hai
Tumhara good bhi achcha ... bad bhi achcha
Chup chap chala ja yahan se ... varna tere right ke saath saath left thopda bhi chaupat kar doonga
Aaj ke baad dubara koi aaisi harkat ki na ... toh yeh haath khane ke layak toh kya ... dhone ke layak bhi nahi rahega
Waqt hai ... waqt se pehle sambhal jao
Aurat pe haath uthana ... namard ki pehli nishaani hai
Hum tere pairon ke neeche ki zameen itni garam kar denge ... ki tere jooton tak mein chaale padh jayenge
Billi ke nakhoon badh jaane se ... billi sher nahi ban jaati
Ab tak meri zubaan tujhse sawaal pooch rahi thi ... lekin ab jawaab degi teri zubaan aur sawaal karega hamara inteqam
Joh humri marzi ke bagair, humre ilaake ki zameen pe apna kadam rakhta hai ... woh apne kadmon pe nahi, balki doosron ke kandhon pe lautke jaata hai
Hamari nazaren hamesha aasmaan ke sitaaron pe rehti hai ... zameen ki dhool hum mein pasand nahi
Insaan chahe zaalim ho ya masoom ... woh atyachar karne ke liye bandook uthaye ya atyachar mitaane ke liye ... kanoon ki nazaron mein mujrim ban jaata hai
Khoon ke rishtey kabhi saboot ke ghulam nahi hua karte
Aaj ka daur mazdooron ka daur hai ... aur aaj ka mazdoor apne paon ki thokaron se bade bade badshahon ki taqdeer likhta bhi hai ... aur mitata bhi hai
Hum apni zubaan mein faulaad rakhte hai ... joh halaat ki garmi se na toh phigalti hai aur na hi lachakti hai
Hum jab saamne waale ko paani pila dete hain ... tab paani peete hain
Khatmalo ko maar maar kar khoon jaama karne se ... blood bank nahin ban jaata
Jis tarah bewafaa mehmoob kabhi ek dil mein nahi reh sakte ... us hi tarah choohe kabhi ek bil mein nahi reh sakte
Kuch saanp itne zehreelay hote hai ... ki agar woh kaat le toh palak jhapakte hi zindagi kat jaati hai ... woh karvat badalne ka mauka tak nahi dete
Doosre ka khota sikka bhi agar kichad mein gira ho toh usse uthakar apni jeb mein rakha ja sakta hai ... lekin apna khara sikka jaan moochkar kichad mein nahi phenka ja sakta
Jinke badan kagaz ke hote hai woh agni devta ki puja nahi karte
Hum woh pandit hain ... joh shaadi bhi karate hain, aur shraadh bhi
Joh tumhari baat nahi manega ... woh upar se nau inch chota kar diya jayega ... yaane ki sar dhar se alag
Bhadki hui aag ko bhujane ke liye joh phoonk marne ki koshish karta hai ... uska chehra jal jaata hai
Aap aag ke paas rehkar shaant nahi hai ... aur hum dil mein aag rakhkar bhi shaant hai
Ya toh tum neeche aa jao yah phir hum upar aate hai ... ya thoda neeche tum aao aur thoda upar hum aaye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
