dialogues for cast: Shreeram Lagoo
cast: Shreeram Lagoo
1
Duty ek aaisi cheez hai joh kabhi kabhi rote huye bhi nibhani padti hai
Maa ki mamta aulad ki zindagi ke liye amrit hai ... lekin jab woh mamta andhi ho jaye toh zehar ban jaati hai
Gaddari ki jitni badi sazaa hoti hai ... utna hi bada inaam
Jab insaan jawan hota hai toh usse samaaj aur society ki parvah hoti hai ... shaadi ke baad usse biwi bachon ki fikar hoti hai ... aur budhape mein toh sare parivar ki ... yahi toh insaan ki kamzori hai, yahi jeevan sangram hai ... jis mein rakht aur maas ka sangharsh nafrat aur mohabbat ke saath zindagi bhar chalta rehta hai
Agar zindagi mein bada banna hai toh ek baat yaad rakho dost ... apni taqdeer ke vidhaata khud bano
Patthar ka daag mitt jaata hai ... lekin dil par laga hua daag nahi mitta
Ab toh mere liye waqt tehar gaya hai re, zindagi tehar gayi hai ... ab toh sirf saans ke tehar jaane ka intezar hai
Azaadi utni hi achchi hai, jitni ki patang udhane ke liye hawa ... zyada hawa se patang ki dor toot jaati hai aur woh hichkole khate hue kahin ghum ho jaati hai
Patni ka ghamand hota hai uska pati ... aur tum us ghamand ko kayam rakhane ke liye pati ki khushi mein apni khushi talash karna ... issi mein ek sukhi pariwar ki zamanat chupi hui hai
Paise mein badi taqat hoti hai ... jinke paas paisa nahi hai na, unse toh unke apne bhi nazar pher lete hai ... aur jinke paas paisa hai, unke gair tak apne ho jaate hai
Doctor dawaon se jism ka ilaaj karta hai aur physiatrist dimaag se dimaag ka ... dil ke paas pahunch kar, usse samajh kar, samjha kar
Saanp ka kaata kam se kam mar toh jaata hai ... lekin aurat ka sataya na mar sakta hai, na jee sakta hai
Duniya mein pyar ka jawab pyar hota hai ... aur nafrat ka jawab hota hai nafrat
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
