dialogues for cast: Sunil Shetty
cast: Sunil Shetty
Yahan raj ussi ka chalta hai jiski himmat uski taqat se badi ho
Ek sachche desh bhakt ko hum fauj se nikaal sakte hai ... lekin uske dil se desh bhakti nahi
Jeetna sabhi chahte hai ... lekin jeetta sirf woh hai ... joh apna sab kuch bhulakar sirf apne maqsad ko jeetta hai
Dhamki dene waalo ki main saans bandh karta hoon ... tera naseeb achcha hai, sirf mooh bandh kar raha hoon
Jab hum thak ke so rahe the ... yeh so so ke thak rahe the
Jab tab Marcos kisi ko maarna nahi chahta, woh marta nahi ... aur jab maarna chahta hai, toh woh bachta nahi
Do din, sirf do din deta hoon tujhe ... teesre din tera chautha hoga
Police waale mera naam sunke marte hai
Shaadi chal raha hai ya saas bahu ka TV serial ... khatam hi nahi ho raha hai
Apun Anna ... chaubees ghante chaukana!
Begani shaadi mein Abdullah deewana ... begane shootout mein jaan mat gawana
Kya cheez hai Mumbai, aamchi Mumbai ... woh vada pav ki chutney, woh Mahim ki phirni, woh local train ke dhakke, woh signal pe chakke ... woh traffic, woh kooda, woh kachra, woh auto taxi ka nakhra ... woh machi waali ka jhagda, woh bhel, woh pani-puri, woh ragda ... woh Wadala, woh Chakala, woh Bandra, kahin Sakku bai toh kahin Sandra ... woh aunty ka adda, saala main road pe hich khadda ... yaar jaisa bhi hai ... aamchi Mumbai toh aamchi hai yaar
Cooking is spiritual ... ek achcha cook banne ke liye, achche dil ka hona bahut zaroori hai
Pyar hai toh jhagda hai, jhagda hai toh pyar hai ... aur jhagda hi pyar ko aur tagda karta hai
Tum jeeyo hazaron saal aur saal ke din ho pachaas hazar ... aur raatein ho ek lakh pachaas hazar
Is tarah tumhara take care karoonga ... ki tum mujhe hamesha ke liye apna caretaker banaogi
Ek bhi goli chali ... toh jaan kisi ki bhi jaye ... maare tum log jaoge
Kabhi kabhi jannat aur duniya ke beech ka fasla ... sirf ek kadam hota hai
Main is duniya ka bhut aur bhavishya hoon
Jawani ke din ... kamaal ke hote hai
Aapke ek shaunk ki keemat ... hamari kahi chhaton ki keemat hai
Kyun Gandhiji ke desh mein hinsa karwata hai?
Police ki maar ki baat hi hai nirali ... goonga bhi gaye qawali
Ek hi toh mulk hai ... jahan Hindustan se gaye huye har aatankvadi ko kaha jaata hai ... khushamdeed, khushamdeed
Waqt hi vaishi banata hai ... waqt hi insaan
Na Hinduo se hai, na Musalmano se hai ... is mulk mein taqleef baimaano se hai
Hawa mein meethi si thandak hai ... aur chaand ki roshni mein ajeeb si khushboo
Tum zara mooh kam kholo aur dimaag zyada khula rakho
Achche dost toh khushiyan baant kar aur bhi khush hote hai
Business mein oonchai kaminepan se nahi ... commitment poora karne se milti hai
Isse toh software or underwear ka bhi farak pata nahi
Hindustaniyo ke samne ... Hindustan ko jalane ki baatein nahi karte
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
