dialogues for cast: Sunny Deol
cast: Sunny Deol
Apni hadh mein rehna seekh lo ... varna na toh yeh sarhad rahegi, na tum
Josh agar galat jagah istemaal kiya jaaye toh bewakoofi hoti hai ... sahi jagah kiya jaaye toh bahaduri
Saheedon ke naam se darr nahi, josh aata hai
Ek acha fauji banne ke liye sabse zaroori hota hai apne saathiyon se rishta ... koi bhi fauji kitna bhi kabil kyun na ho, woh akele jung nahi jeet sakta ... jung mein fauji ka sabse bada hathyar uski rifle ya tank nahi hota ... uska sabse bada hathyar hota hai pyar ... uske bhaiyon ke liye, apno ke liye, uske desh ke liye ... we do not fight for kings, we do not fight for leaders, we fight for our brothers, next to us ... jung mein jab dushman ki rifle tumhare seene pe tadi hogi ... us waqt jab tum peeche mudkar dekhoge ... toh tumhara saaya saath ho ya na ho, lekin tumhare yeh brothers saath mein honge ... we live as brothers, we bloody die as brothers
Awaaz kahan tak jaani chahiye ... Lahore tak!
Tum jahan se bhi ghusne ki koshish karoge ... aasmaan se, zameen se, samundar se ... samne ek Hindustani fauji khada paoge ... joh aankhon mein aankhen daalkar, seena thok ke kahega ... himmat hai toh aa, yeh khada hai Hindustan
Jung hathyaaro se nahi, jurrat se jeeti jaati hai
Fauji ke liye border sirf nakshe par kheenchi huyi ek lakeer nahi hai ... balki ek vaada hai apne desh se ... ke jahan woh khada hai uske aage koi nahi jayega ... na hi koi dushman, na uski goli, aur na hi uska iraada
Tum humein kya haraoge ... arre tumhare Pakistan mein itne log nahi, jitne hamare yahan Eid par bakre kaate jaate hai
Yeh haath uthega na toh pura India goonj uthega
Main jaat hoon ... sar katne ke baad bhi haath hathyar nahi chhodte ... main tujhe aur teri lanka ko yahin phoonk dunga
Jab main maarna shuru karta hoon ... na main ginta hoon, na sunta hoon
Yeh dhai kilo ke haath ki taqat pura north dekh chuka hai ... ab south dekhega
Tum log is vardi ke layak nahi ho ... yeh vardi janta ki taqat hai, vishvas hai, bharosa hai ... janta ne tumhe yeh vardi di hai taaki tum unki raksha kar sako ... aur tum logon ne dushmano ke saath milkar is vardi ki taqat ka galat istemaal kiya hai ... band karo yeh police station, utaar do apni vardi, and surrender yourselves
Main is mitti se bana jaat hoon ... joh sabko khilane ke baad khud khaata hai ... joh akela lakhon ke saath ladh jaata hai ... joh apni maa, pariwar aur bachon ki hifazat karta hai ... aur jab yeh jaat fauji ban jaata hai ... toh is mein jhande ka garv aur abhimaan hota hai
(Kaun hai be tu?) - Jaan ki keemat jankar bhi jaan ko zokhm mein daalne wala ... main jaat hoon
Agar apne Rasool ke raste pe chalta na toh ghazwa-e-hind nahi, jazba-e-hind ki baat karta ... aur duniya ek jannat hoti
Hindustan Musalmano ka hai, Hindustan Christiano ka hai, Sikho ka hai, Hinduo ka hai ... har Hindustani ka hai ... aur in sabne milkar azaadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai
Agar yahan ke logon ko dobara mauka mile na Hindustan mein basne ka ... toh aadhe se zyada Pakistan khali ho jayega ... tumhara yeh siyasipan tumhe bhikhari bana dega ... katora lekar ghoomoge, bheekh bhi nahi milegi
Agar maine murdabad ka naara bhi laga diya na toh mere mulk ki shaan kam nahi hogi ... humara tiranga asmaan mein lehra raha hai aur woh lehrata hi rahega ... agar har Pakistani ne Hindustan murdabad ka naara bhi lagaya na ... toh unki awaaz hamare border tak bhi nahi pahunchegi ... aur agar har Hindustani ne zindabad ka naara lagaya ... toh uski awaaz ki goonj tum sabko phaad degi ... Hindustan zindabad!
Agar hasratein aukaat se zyada badh jaye na ... toh tabahi ke liye dushman ki zaroorat nahi padti
Roti ka chakka jab kuchalta hai na ... toh sabse pehle moolya, siddhant, kuchle jaate hai
Charitra aadmi ko banata hai ... kapde nahi
Samjhana aise chahiye ... ki samajhne wala samajhne ke liye khada bhi na rahe
Nateejon ki sochke faisle lena hamari fitrat nahi hai ... nateeje hamare faislo se badal jaaye karte hai
Sachai ke saath saath agar kuch chahiye toh woh hai sansani ... yehi hai aaj ki sachai
Kabhi kabhi bada sach samne laane ke liye, chota jhooth bolna galat baat nahi
Itni zor se patkunga ki tappa khakar chatt se lagega
Joh lada jung ke maidan par wohi shaheed hua ... lekin joh lada hi nahi woh pehle hi gaya ... samman ki is ladai mein apmaan bhi hoga ... lekin joh apni nazaron se girega woh atmasamman se bhi gaya ... besharamon ki is basti mein ab humne toh thaan li hai ... tann pe rahe na ek bhi kapda lekin izzat humne apni zaroor bachani hai
Agar hum sach ke saath hai ... toh hum mein jeetne tak haar nahi maanni chahiye
Chot ko apni taqat bana ... kamzori nahi
Chacha Chaudhary ka dimaag computer se tezz chale hai ... par tera dimaag Chacha Chaudhary se bhi zyada tezz chale hai
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
