dialogues for cast: Utpal Dutt
cast: Utpal Dutt
1
Hum saadharan premi nahi ... desh premi hai
Siyasat ki duniya mein maa, baap, bhai, behen, beti, damad koi kuch nahi hota ... kyun ki aadmi jab upar uthna chahta hai, tab yeh sab rishtey aur jazbaat bojh bankar usse neeche ghaseet lete hai
Teri tabiyat toh hamesha murghi ki tarah khauff ke ande diya karti hai
Ab toh baat hi baat hai, har taraf chandni raat hai, khushiyon ki barsaat hai, tera aur Kavita ka zindagi bhar ka saath hai, teri aane waali baraat hai, sari jaidaad apne haath hai ... aye kabootar rone ki kya baat hai?
Insaan agar kisi baat ki umeed na rakhe toh na dil tootne ka afsoos hota hai ... na baad mein behosh hota hai
Waqt aane par na dushman ko chhodna chahiye ... na saanp ko dekhkar laathi ko todna chahiye
Aap police officer nahin ... foolish officer
Maaf nahin, main tujhe saaf kar doonga
Jiske paas mooch nahin ... uske paas mann hi nahin hai
National dress ka mazaak nahin udayoge toh broadminded kaise kehe jaoge
Jis naujawan ko kaam mein jee lagata dekho ... uss naujawan mein apna dil lagao
Joh apna naam short karde, woh kaam bhi chota hi karega
Tumhari shaadi usse nahin hogi jise tum prem karti ho ... tumhari shaadi usse hogi jise main prem karta hoon
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
