dialogues for cast: Vidyut Jamwal
cast: Vidyut Jamwal
1
Jaldbaazi aur gusse mein uthaya hua har kadam ... sirf maut aur barbaadi laata hai
Jungli janwar ke pinjre mein pair rakhne se pehle tasalli kar leni chahiye ki pinjra band hai ... khaas karke jab pinjre mein sher ho
Aaj sabse badi power, muscle power nahi hai ... political power hai
Agar lamba jeena chahte ho toh dushman ki izzat karna seekho ... chahe woh kitna bhi kamzor kyun na ho
Pehle pardon mein chupa karta tha ... ab mardon mein ... bahut jald kabr mein chupega tu ... bacha sakta hai tu khudko toh bachale
(Kafi jazbaati ho) - Na, sirf Bharatwadi
Nasal ya fasal barbaad hoti hai toh desh barbaad hota hai
Hindustani Hindu ho ya Musalman ... ab kisine ungli ki ... toh haath judega nahi, todega
Decide karna mushkil hai ... ki khatra badhta dekhkar tum flirt karti ho ... ya flirt karne se khatra badh jaata hai
Desh ki seva karne mein joh maze hai na ... woh kisi aur mein nahi hai
Aankhon mein tabhi chamak aati hai jab unmein khatra hota hai
Joh log sirf tamasha dekhte hai ... unka aksar tamasha ban jaata hai
Joh apne peeche nishaan chhodte hai ... aksar unka naam aur nishaan mitt jaata hai
Ladki ka peecha chhod de varna tere itne aadmi marenge ... ki tujh jaisa tenth fail lashein bhi nahi gin payega
Main baat se zaat jaan jaata hoon ... aur harkato se aukaad
Isse bachane mein mera koi fayda nahi ... aur tujhe todh daalne mein mera koi nuksaan nahi
Kabhi aadmi leke nikalta hai, kabhi kutte leke ... akele nikla kar ... mard hone ka ehsaas ho jayega
Jab galati karna zaroori ho jaye ... toh maafi pehle se hi maang leni chahiye
Jis din naam bataonga ... us din ke baad kabhi bhulega nahin tu
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
