dialogues for cast: Vijay Raaz
cast: Vijay Raaz
1
Kutti cheez hoti hai bhai emotion ... hadhein paar kar deti hai
Champion girta hai lekin rukta nahi hai
Sapna tab khatam hota hai jab hum dekhna band kar dete hai
Jung badi kamini cheez hoti hai ... ladane wale ka kuch nahi jaata ... ladne wale ka sab chala jaata hai
Asli jeet doosre khiladi ko harane mein nahi hai ... asli jeet hai apne andar ki us awaaz ko harane mein joh roz tumse kehti hai ki tum pehle se hi haar gaye ho
Apna toh kaam hi khauff ka hai ... aankh mein dekho toh saamne wala moot dena chahiye
Marz ke bina dawai aur zaroorat ke bina pyar ... kisi ke liye bhi ghatak ho sakta hai
Dimaag ka khula rakhna utna hi zaroori hai jitna ki tijori ka band rehna
Pyar khwaabon tak pahunchne ka sahara ho sakta hai ... magar iraada nahi
Bada makaan, badi dukaan, aur badi car se zyada zaroori hota hai ... badi soch ka hona
Dil tune kuch aisa kar daala ... na jee raha hoon na mar raha hoon ... yo kya ho gaya saala
Qaid mein hai zindagi, azaad ho jaa ... mohabbat mein chal barbaad ho jaa ... teri shehad si awaaz ko kaano se chakk loon ... tu mere ishq ka meetha swad ho jaa
Saale itna todhunga na tujhe ... koi budget jodh nahi payega
Yeh tamancha kacha mein rakho babua ... Bihari hai hum ... thook ke maatham mein chhed kar denge
Sangeen duniya mein qatil ka pataa nahi poochte ... aashiqon ke lutte dil hi bata denge ke bewafa kahan revhe hai
Abhe dukaan pe itni goli maarunga hagega toh dhuaan niklega ... woh bhi ruk-ruk ke
Yeh Arabiyon ka Dongri hai beta ... yahan shaanpatti sirf shaano pe jachti hai ... police waalon pe nahi
Vaada toh phir vaada hai, main zehar bhi pee jaon katil ... sharat bas itni hai, koi baahon mein samah le mujhko
Yahan libaaz ki keemat hai aadmi ki nahi ... mujhe glass bada de sharab kam karde
Wahi taj hai, wahi takht hai, wahi zehar hai, wahi jaam hai ... yeh wahi khuda ki zameen hai, yeh wahi bhuton ka nizam hai ... bade shauk se mera ghar jalaa, koi aanch tujhpar na aayegi ... yeh zabaan kisi ne khareed li, yeh kalam kisi ka ghulam hai
Apna line mein aadmi weapon se nahi maara jaata hai ... information se maara jaata hai
Yeh duniya mein underworld ... police ka daya aur lalach par chalta hai
Yeh aankhen nahi camera hai ... aur is camere ne aapke andhar ke kalakar ko pechaan liya hai
Doosre ka suitcase aur doosre ki biwi ko haath nahi lagana chahiye
Kaika Dilli hai bhaiya, dil toh hai hi nahi kisi ke paas
Abe chai mangi thi, parliament se ayegi kya?
Bhagwan ko malum tha ki aadmi saala kuch kare na kare lekin daru zaroor piyega ... isiliye usne aadmi ko ek dimag, ek thopda, ek dil de diya ... lekin kidney do de diya, ki agar ek kharab ho jaye toh aadmi doosri se apna kaam chalata rahe
Graduate samajh ke humko line maar rahi hai kya?
Thoda sa hamari taraf se bhi ro dena
Bada kamzor leg piece hai ... is murghi ko polio ho gaya tha kya?
Is duniya mein pyar karne waale log bahut kam hai ... lekin joh nafrat nahi karte na woh sirf ek ... aap
Angrez log jab hamari shaadi dikhate hai toh usse bolte hai "Monsoon Wedding" ... aur jab Hindustani log shaadi dikhate hai toh usko bolte hai "Soon-Soon Wedding" ... iska matlab chat mangni pat wedding
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
