Dialogues for Cast - Deepika Padukone - PartyStuff

dialogues for cast: Deepika Padukone

cast: Deepika Padukone
1 (of 2 pages) | 32 (of 42 items)
1 2
Main Singham nahi ... main lady Singham hai re
Tere is duniya mein aane ki wajah ek aurat thi ... zyada herogiri dikhayega na toh tere is duniya se jaane ki wajah bhi ek aurat hi hogi
Kuch safar itne khoobsurat hote hai ki manzil tak pahunchne ka mann hi nahi karta
Jab Rajput apne mitti aur maan ke liye ladta hai ... toh uski talwar ki goonj sadiyon tak rehti hai
Rajputi kangan mein utni hi taqat hai jitni Rajputi talwar mein
Tu wohi hai joh subah ko office jaata hai aur shaam ko ghar aata hai ... boss ki daant khata hai aur kisi ko nahi batata hai
Jhand fakeer, soovar ki aulaad, marjha saale kamine ... thank you!
Yeh sach hai ki har dharam ne ek rang ko chun liya hai, par rang ka toh koi dharam nahi hota ... haan kabhi kabhi insaan ka mann kaala zaroor ho jaata hai joh usse rang mein bhi dharam dikhai deta hai
Ishq ... joh toofani dariya se bagavat kar jaaye woh ishq ... bhare darbar mein joh duniya se ladh jaaye woh ishq ... joh mehboob ko dekhe toh khuda ko bhool jaaye woh ishq
Kiski talvar par sar rakhon yeh bata do mujhe ... ishq karna agar khata hai toh saza do mujhe
Tujhe yaad kar liya hai aayat ki tarah ... ab tera zikr hoga ibadat ki tarah
Adhoori mulaqat hi toh phir se milne ka vaada hota hai
Saat minute, saat minute hai tumhare paas ... aaj is stage pe kaise dance karna hai yeh main tumko nahi batayegi ... kya malum aaj ke baad hum sab saath mein hoyenge ki nahi hoyenge ... aaisa chance milenga ki nahi milenga ... lekin aaj agar is team ka har ek dancer apni zindagi ka best dance karenga na ... toh aai shapath yeh saat minute tumse koi nahi cheen sakta ... gods bhi nahi
Dance na ek puja hai ... dance ek art hai art
Haaro toh haaro ... par izzat mat utaaro
Yaadein mithai ke dibbe ki tarah hoti hai ... ek baar khula toh sirf ek tukda nahi kha paoge
Mujhe tumse pyar ho jayega ... phir se
Mujhe aaise mard bahut pasand hai ... jinke baare mein main yeh nahi samajh paati ... ki woh tezz zyada hai yah good looking
Agar life ka one third hissa sokar ki guzarna hai ... toh akele hi kyun?
Jitna tu danger hai na ... utna hi hoshyaar
Chakli, chivda, gud papdi, samose ... mera toh sab ram bharose
Namkeen nani, naughty nana hai ... maike kab tak rahoongi, Ram ke ghar jana hai
Udh ke aati hoon banke vimaan ... ready rakhna love ka samaan ... milke rahoongi chahe baa lele jaan
Morni bina mor kis kaam ka ... yeh sindoor hai Ram naam ka
Dushman se pyar nibhana har kisi ke bas ki baat nahi hai
Jigar pe mat ja ... trigger daba dungi
Green hai angoor, kele ka rang peela hai ... kehdo saari duniya se, Ram ki Leela hai
Besharam badtameez khudgarz hota hai ... par pyar toh aaise hi hota hai
Jab Ram naam ka raag lage ... toh pani mein bhi aag lage
Knife pe gire apple, apple pe gire knife ... saala phone nahi utha raha hai, call kar rahi hai wife
Hum log jahan pe khadi hoti na ... station wahin se shuru hoti
(Meri dictionary mein impossible ka shabd hi nahi hai) ... Acha ... kahan se khareedi aaisi bakwaas dictionary?
1 2

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.