dialogues for cast: Madhuri Dixit
cast: Madhuri Dixit
1 2
Yeh roz subah jaldi uthte hai murge ki tarah ... phir aada adhoora khate hai kauve ki tarah ... phir breakfast karte hai bandar ki tarah ... phir office ko daudte hai ghode ki tarah ... phir kaam karte hai gadhe ki tarah ... phir ghar aakar daru peete hai machli ki tarah ... phir mujhpe bhaunkte hai kutte ki tarah ... phir khana khate hai magarmach ki tarah ... aur uske baad taange phaila ke soo jaate hai bhainso ki tarah ... dekho kaise ghoor rahe hai ulle ki tarah
Najayaz mohabbat ka anjaam aksar tabahi hota hai
Mohabbat usse karte hai joh aap par izzat kar sake ... aapse aapke mohabbat se zyada mohabbat kar sake
Dhoonde ankhiyan, dhoonde dariya, dhoonde sara gaon ... sabse pehle dekh re moorakh, ka padhe ho tero paon
Sangathan ki shakti hai ... aur akele mein aapki phatti hai
Jurm jurm hota hai ... aur insaaf insaaf hota hai
Danda sabka peer hota hai ... rod is god
Neeche waali jab leti hai na ... toh patloon phad ke leti hai
Jaise til mein tel hai, jyon chakmak mein aag ... tera Sai tujh mein hai, tu jaag sake toh jaag
Hamari is duniya mein zindagi thami si rehti hai ... kabhi aaiyega bhut banke baithenge
Husn ka mazaak na uda ... kahin husn ke haathon tera mazaak na ban jaaye ... manchala hai, khoobsurat hai, magar ladka hai tu ... tujhe ladkon aur mardon mein fark kaun samjhaye
Style bhi toh koi cheez hoti hai
Shakal dekhi hai aaine mein ... amavas ke chand par Maggi noodles latkaye hue hai ... chudail kahinki
Kalakar banne ki chah ko bahar agar hai lana ... toh sheeshey ko thodi takleef dijiye aur dil ko ek bahana
Kaam samajh kar karogi toh mushkil hai ... pyar samajh kar karogi toh kuch bhi nahi
Tawaifon ki toh taqdeer hi nahi hoti
Har dukh aane waale sukh ki chitti hoti hai ... aur har nuksaan hone waale fayde ka ishara
Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye ... hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye
Pyar ka karobaar toh bahut baar kiya hai ... magar pyar sirf ek baar
Arre thairo thairo thairo, zaara tham toh jao ... kahe ki hai yeh dhoom dhaam, zaara mujhe toh batao
Beti ka sasural hi hai uska sansar ... rasmo rivaaz nibhati rahoongi, ab toh jaane dijiye ... aati rahoongi
Sacha dost toh woh hota hai ... joh dost ki galati ko apni galati samajhkar maaf karde
Roti kamane ke liye aurat ghar se nikli nahi ... ki tankha dene waala har aadmi usse apne baap ka maal samajhta hai
Yeh kyun, kya, kahan ke uljhan mein kyun pade ... bas yeh kya kam hai ki hum sab hai aur saath hai
Woh mere paas hota hai goya ... jab koi doosra nahi hota
Yeh bangla, yeh jaidaat sab kuch cheena ja sakta hai ... paas rehta hai toh sirf apna wajood
Anyay kabhi karna mat ... aur uske samne jhukna bhi mat
Aap humre pati hai ... parmeshwar banne ka bhool mat ki jiye
Kahin na kahin, koi na koi mere liye banaya gaya hai ... aur kabhi na kabhi main usse zaroor milongi
Main usse bahut pyar karti hoon ... ek din ke liye nahi ... ek pal ke liye nahi ... zindagi bhar ke liye
Aayenda jab bhi koi mard kisi aurat ki izzat par haath dale ... toh woh yaad rakhe ki woh apni mardani nahi dikha raha, balki atmahatya kar raha hai ... kyun ki aaj ke baad zindagi mein jab kabhi, jahan kahin woh ladki us mard ko dekhegi ... toh usse yeh haq hoga ki woh us kamine ko jaan se maar dale
Tu is zameen ki cheez nahi, tu jaane kahan se aayi hai ... tu is chaman ka phool nahi, tu kis gulistan se aayi hai
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
