dialogues for cast: Vyjayanthimala
cast: Vyjayanthimala
1
Prem ka khel do dhaari talwar hai ... iska khiladi kabhi khud bhi ghayal ho jaata hai
Jab tumhari soorat aankhon mein lekar aankhen band karti hoon na ... toh phir kholte hue dar lagta hai ... kahin tum ojhal na ho jao
Zindagi ki asli khushi doosron ko khush karke haasil ki jaati hai
Wahin hai duniya, wahin hai swarg mera ... jahan tum ho, jahan tum ho, jahan tum ho
Tujhe dekha, tujhe chaaha, tujhe puja maine ... bas itni khatta hai meri, aur khatta kya
Samaaj mein rehke samaaj se bair nahi kiya ja sakta
Aaj itni derr ho gayi ... kabhi darwaze ko dekhte the kabhi waqt ko ... na tum aate the na waqt jata tha
Aye haseen aasman ki malika, mera dildar mujhko lauta de ... tujhko apni nazakaton ki kasam, tu mera pyar mujhko lauta de
Mohabbat kisi ke kehne se nahi ki jaati aur na kisi ke hukum se todi ja sakti hai
Main marr jaungi tab bhi tumhare paas hi rahungi ... hasoge toh saath hasungi ... rohoge toh saath hi rohungi
Aasoon ki buniyad par khushi ka mahal khada nahi ho sakta
Mujhe yeh aalishan makaan nahi, ghar chahiye ... mujhe daulat aur shohrat nahi, sukh chahiye ... mujhe logon ki tareef nahi, tumhari mohabbat chahiye
Maine zindagi mein prem ka karobar bahut dino tak kiya hai ... lekin prem sirf ek baar
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
