dialogues for cast: Arjun Kapoor
cast: Arjun Kapoor
1 2
Pyar shabd jive marzi boliya jave ... sunan vich unha hi sona lagda hai
Agar har rishtey ki ek umar hoti ... toh hamare rishtey ki umar humse thodi si zyada hoti
Tujh jaise doston ki wajah se life insurance ka ijaad hua tha ... ki bhai sahab life aapki le na le, aise haraamkhor dost zaroor le lenge ... karva lo policy
Jab ek khandaan ki kismat mein khoon likh diya jaata hai ... toh us khandaan ke waris ko talwar uthani hi padti hai
Teri Ramayan ka Ravan hoon main
Main is dharti ke mitti ke ek kann ke liye bhi marne ko taiyaar hoon
Joh koi bhi kisi bekasoor ka qatal karta hai ... woh poori insaaniyat ka qatil hai ... joh koi bhi ek zindagi bachata hai ... woh poori insaaniyat ko bachata hai
Woh aashiq ki kya joh mashooq-e-dil ka haal x-ray na kar paaye
Aaj ek doosre ke saath bura kar loon ... yeh sochke ki isse hamara kal acha hoga ... isse badi bewakoofi is duniya mein nahi ho sakti
Hum kahan rehte hai usse farak nahi padta ... hum kiske saath rehte hai aur woh humein kitna pyar karta hai ... farak isse padta hai
Duniya aaj bhi ek hi cheez pe kayam hai ... jiski wajah se duniya kayam hai ... pyar
Aapke yeh Bernard Shaw wale idea jisne maan liye na ... usko toh Waheguru bhi nahi bacha sakte
Bande ko na hard working nahi ... smart working hona chahiye
Agar you playing, may be you losing ... magar agar you running away, toh you pakka losing
Hamari amma bachpan se sikhayi ... haaro mat ... haar ko harao
Main apni maa jaisa banna chahta hoon
Tere spaghetti jaise ghane lambe baal ... olives jaisi kaali kaali, actually not so kaali kaali aankhen ... baby corn jaisi nukeeli naak ... cherry tomatoes jaise laal laal gaal ... sliced bell pepper se bane honth ... jalapeno si teekhi zubaan ... chalti phirti pasta dish ho
Sugarfree biscuit jis mein sugar kam hai ... sugar waale biscuit se double mehenga ... slim milk jis mein doodh kam hai ... woh doodh waale milk se zyada mehenga hai ... kam khana zyada khane se expensive ho gaya hai
Mera maqsad mehnat se bachna nahi ... meri mehnat faltu maqsad se bachke rehna hai
Robo hai tu robo, corporate robo ... tere hardware mein koi soft feelings hi nahi hai
Tune Rambo ka naam suna hai? ... Terminator, Salman Bhai? ... in sabko na ek mixi mein daal, teen char baar ghuma ... aur joh glass bharke milkshake banta hai na ... woh hoon main
Kabaddi, kabaddi, kabaddi ... kiski modhon gardan ... kiski todhon haddi
Main life mein har kaam ek baar zaroor karta hoon ... aur joh kaam pasand aaya na ... usse do baar karta hoon
Auraton ki na izzat kiya kar ... varna goliyan phod doonga aur bandook todh doonga
Joh chane khate hai na ... woh badaam ke paad nahi maarte
Woh chahegi jiska banna ... arre wohi banega Rajesh Khanna
Mera maatha garam hai, doodh ki tarah ubal jaata hoon ... aaj ubloonga nahi ... phatoonga
Yeh tasveer shuru zaroor usne ki hai ... lekin ismein aakhri rang main bharoonga
Chori ke dhande mein joh maal le jaye na ... maal bhi uska, dhanda bhi uska
Yeh tevar hamare khoon mein hai ... tere bhaukane se kuch nahi hoga
Sabse bada kalakar toh woh hai ... usne itni badi duniya banai ... phir is duniya mein hazaron log banaye, hazaron logon ke haathon mein karodon lakeerein kheench di ... sukh ki, dukh ki, izzat ki, pyar ki, sab likh daala saala ... lekin woh mujhse itna pyar karta hai ki usne mere haath mein sirf ek lakeer kheenchi, sirf ek ... kaali kismat ki kaali lakeer
Budhi ho ya jawaan ... melodrama is duniya ki sari auraton ke khoon mein hota hai
1 2
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
