Dialogues for Show - Devdas (2002) - PartyStuff

dialogues for show: Devdas

show: Devdas
1 (of 1 pages) | 15 (of 15 items)
1
Yeh toh 'sh' se shayari ho gayi
Tawaifon ki toh taqdeer hi nahi hoti
Tawaifon ki taqdeer mein shauhar nahin hote
Jahan 'kh' se khush hokar jeena chahiye wahan 'kh' se itne khamosh baithe ho ... arre 'kh' se itne khoye khoye ho ... ki pata hi nahi chalta ki aap ghar pe ho
Har dukh aane waale sukh ki chitti hoti hai ... aur har nuksaan hone waale fayde ka ishara
Kitni aasani se ginvah diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi ... lekin yeh nahi socha ki un palon mein beetta toh main hi tha ... diya tum jalati thi ... par jalta toh main hi tha
Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye ... hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye
Ek baat hoti thi tab tum bahut yaad aati thi ... (kab) ... jab jab main saans leta tha tab tab
Pyar ka karobaar toh bahut baar kiya hai ... magar pyar sirf ek baar
Itna guroor toh chaand ko bhi nahi hai
Aurat maa hoti hai, bahen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai ... aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai
Dil ke chaalon ko koi shayari kahe toh parwah nahi ... takleef toh tab hoti hai jab koi wah wah wah karta hai
Apne hisse ki zindagi toh hum jee chuke Chunni babu, ab toh bus dhadkano ka lihaaz karte hai ... kya kahen yeh duniya waalo ko joh, aakhri saans par bhi aitraaz karte hai
Kaun kambakht bardaasht karne ko peeta hai ... hum toh peete hai ki yahan par baith sake, tumhe dekh sake, tumhe bardaasht kar sake
Babuji ne kaha gaon chhod do ... sab ne kaha Paro ko chhod do ... Paro ne kaha sharab chhod do ... aaj tumne keh diya haweli chhod do ... ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do
1

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.