dialogues for show: Awara
show: Awara
1
Mitti ka gaar toot ke judh sakta hai ... par yaad rakhna stree ki laaj ka seecha ek baar toot jaaye, toh kabhi nahi judh sakta
Dil kanoon ko nahi maanta ... kisi kanoon ko nahi maanta
Joh ek baar apradhi ban jaye woh phir kabhi sharif nahi ban sakta ... chahe kitna hi bhes kyun na badle
Qatal karne ke liye bhi himmat chahiye
Sharifon ki aulad hamesha sharif hoti hai ... aur chor daaku ki aulad hamesha chor daaku hoti hai
Import export ka matlab hai idhar ka maal udhar aur udhar ka maal idhar
Insaaf karte waqt har doosre rishtey ko bhool jaana padta hai
Bas yahi toh hamare naye samaaj ka kamaal hai ... joh chor ho, doosron ke jeb kaatte hai, public ki aankhon mein dhool daalte hai, mere jaisa patla suit pant pehente hai ... unhe hum sharif samajhte hai ... aur joh imandaari se, mehnat mazdoori karke pet paalte hai, phate purane kapde pehente hai ... unhe chor daaku awaara samajhkar dhar liya jaata hai
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
