dialogues for show: Fan
show: Fan
1
Zara si chhu chappad ki na ... toh yeh milk chocolate waale thopde ko wrapper ke saath pichka doonga
Kisi ne uske khilaf mooh khola na toh ho jaati hai ladai ... style marne ke chakkar mein maine agar kabhi haath khol diye toh beta ho jaati hai pitai
Akal ke saamne shakal haari jaati hai ... shakal ki nakal toh kar sakte hai ... lekin akal ki nakal bhi nakli hoti hai
Joh kuch bhi usne kiya ... maine apni life mein cut, copy, paste kiya ... bas farak itna hai udhar woh star bana aur main uska fan
Meri maa kehti hai khate waqt roti aur maarte waqt bandhe ginna ... bahut buri baat hai
Joh maza apni pehchaan ke saath jeene mein hai ... woh kisi doosre ki parchai banne mein nahi
Mamla toh bahut sangeen hai, thodi ahtiyaad baratna ... par ek baat yaad rakhna, dil ka toh kaam hi hai dhadakna
Joh aapko pyar karta hai uska dil todna bhi crime hi hai
Jab raaton ko taare ginne ka mann kare aur har taare pe mera naam bhunane ko dil kahe ... samajh lena pyar hai ... jab chalte chalte peeche mudne ka mann kare ... beedh mein, anjaane mein aankhen mujhe dhoonde lage ... samajh lena wohi pyar hai ... agar yakeen na ho toh yeh haath thaamkar dekh lo ... dhadkane wahin tham jaaye toh samajh lena yahi pyar hai
Woh sirf star nahi hai ... duniya hai meri
Connection bhi na kamaal ki cheez hai ... bas ho gaya toh ho gaya ... Wi-Fi, bluetooth se bhi zyada strong hai apna connection
Pehle fan star ke peeche bhaagta tha ... ab star fan ke peeche bhaagega
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
