dialogues for show: Khilona
show: Khilona
1
Yeh husn, yeh baankpan, us par yeh awaaz ... kami hai toh bas ek nigah-e-karam ki
Angdaai bhi woh lene na paaye utha ke haath ... dekha mujhe toh chhod diye muskurake haath
Daaman uska aaya purze hokar haath mein ... udh gayi sone ki chidiya, reh gaye par haath mein
Likh kar zameen pe naam hamara mitta diya ... unka tha khel khaak mein humko mila diya
Tu khoyi hai jiske liye is tarah ... bhool jaye tujhe is tarah, jis tarah bhool jaati hai subah gayi raat ko ... bhool jaata hai pagal kahi baat ko
Mutthi uthayi khaak ki aur dil bana diya ... pagal ko tumne pyar ke kabil bana diya
Nasha-e-meh maange ki cheez, iski bhi koi hasti hai ... josh-e-jawani kya kehna, masti apni masti hai
Tere toh dhang hai yehi apna banake chhod de ... woh bhi bada hai baawla tujhko joh paake chhod de
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
