dialogues for show: Anand
show: Anand
1
Maut tu ek kavita hai ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko ... doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage ... zard sa chehra liye chaand ufak tak pahunche ... din abhi paani mein ho raat kinaare ke kareeb ... na andhera, na ujala ho ... na abhi raat, na din ... jism jab khatam ho aur rooh ko jab saans aaye ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko
Aaj tak tum bolte aaye aur main sunta aaya ... aaj main bolonga aur tum sunoge
Marte marte chela guru ko jeena sikha gaya
Anand mara nahi, Anand marte nahi
Maanta hoon ki zindagi ki taqat maut se zyada bhadi hai ... lekin yeh zindagi kya maut se bhattar nahi
Jeena toh Bambai mein ... marna toh Bambai mein
Yeh bhi toh nahi keh sakta ... meri umar tujhe lag jaye
Maut toh ek pal hai
Kab, kaun, kaise uthega ... yeh koi nahin bata sakta hai
Hum aane waale gham ko kheench taan kar aaj ki khushi pe le aate hai ... aur us khushi mein zehar ghol dete hai
Jab tak zinda hoon tab tak mara nahi ... jab mar gaya sala main hi nahi
Babumushoi, zindagi aur maut upar waale ke haath hai ... usse na toh aap badal sakte hai na main ... hum sab to rangmanch ki kathputliyan hai jinki dor upar waale ki ungliyon mein bandhi hai
Babumushoi, zindagi badi honi chahiye ... lambi nahin
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
