dialogues for show: Gambler
show: Gambler
1
Jeene na degi aankhen teri dilruba mujhe ... in khidkiyon se jhaank rahi hai kazaa mujhe
Jhoomte masti kesu tere lache lache ... in adaaon pe teri mar gaye achche achche
Cha gaya humpe nasha jalwa dekhkar joh tera ... woh gaya woh gaya woh gaya, hai dil mera
Rangeen zamana hai mausam suhana hai, chhodo bhi ab yeh sharam ... nazarein joh karti hai nazaron se baatein, chal woh karen baat hum
Zindagi mein kuch ehsaan aise bhi hote hai ... jinki keemat asal se zyada sood mein chukana padti hai
Aadmi ki khoobsurati uske kaam se pehchaani jaati hai ... uski shakal se nahi
Lucky in gambling and unlucky in love
Jua khelna hi ek pagalpan hai ... aur asli jua khelne waala khiladi hota hai
Jab aurat ka dil tootta hai, toh woh apni sari zindagi un tukdon ko baantene mein kharch kar deti hai ... aur jab mard ka dil tootta hai, toh woh apni sari zindagi un tukdon ko sametne mein
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
