dialogues for show: Avtaar
show: Avtaar
1
Is kambakht neend ko kya hua ki aati hi nahi ... aur tumhari yaad hai ki jaati hi nahi
Kaun kiske kareeb hoga, apna apna naseeb hoga ... yaad karega jab azeez koi, dard dil ke kareeb hoga
Yaaron utho, chalo, bhaago, daudo ... marne se pehle jeena na chhodo
Mazaa toh jab hai aa jaye kahin unki tabhiyat bhi ... zara woh bhi toh jaane karvatein kyun kar badalte hai
Daulat libaas badal sakti hai ... jism ko nahi badal sakti
Pachtave ke ek aasoon se ... saare gunaah bhagwan bhi maaf kar deta hai
Bada aadmi toh woh hota hai joh doosron ko chota nahi samajhta
Retire toh aadmi ko us din hona chahiye ... jab upar waale ka bulava aa jaye
Kya husn ne samjha hai, kya ishq ne jaana hai ... hum khaak nasheeno ki thokar mein zamana hai
Kisi ka fayda, kisi ka nuksaan ... kisi ka nuksaan, kisi ka fayda ... issi ka naam duniya hai
Daulat se zindagi ka har jazba, har lamha khareeda ja sakta hai
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
