dialogues for show: Andar Baahar
show: Andar Baahar
1
Jis tarah cigarette peene ke baad tukde ko phek diya jaata hai ... uss hi tarah kaam khatam ho jaane ke baad chamcho ko khatam kar deta hai Shera
Joh bhi apni zubaan nahi kholta hai ... main uske bheje ka dhakan khol deta hoon
Papaya jaisa chehra, chikoo jaisi aankhen, tarbuj jaisa badan ... ladki hai yah fruit ki tokri?
Is aadmi ki parchai bhi kisi pe padh jaye na ... toh wahi marr jaye ... itna zehareela hai yeh
Apun bhi apni marzi ka maalik hai ... apne mood ka badshah hai
Pichle janam mein tum zaroor maachis ki dibiya rahe hoge ... is liye is janam mein baatein kam aur mooh se chingaariya zyada nikalte ho
Jab khud ke latakne ki baari aati hai na ... toh chehra khud-ba-khud latak jaata hai
Zameen aur aasman ke beech jitni bhi cheezein hai ... mujhe dekh kar unki rooh fanaa ho jaati hai ... aag ghabrakar baraf ho jaati hai ... aur baraf ghabrakar pani
Kyun meri Kashmir jaisi zindagi ko Kurukshetra banane pe tuli ho?
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Jab aulaad jawaan ho jaati hai na ... tab naukrani ki nahi ... bahurani ki zaroorat hoti hai
Tum jaisi auraton ke pair ke neeche swarg hota hai ... aur aaj kal ki auraton ke pair ke neeche sandal ... joh sadak pe kam aur mardon ke sarr pe zyada chalti hai
Goli maar maarke ek ek aadmi ki laash ko sadak pe us tarah phekenge ... jaise juari jua khelte table pe taash ke patte phekta hai
Mera kaam tumhe sarkari mehmaan banana hai
Waqt, mauka, nazaqat, halat ... kuch toh dekh kar aaya karo?
Kabab mein haddi toh suna tha ... yeh saala poora bakra kahan ghus aaya
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
