dialogues for show: Dil
show: Dil
1
Yaar yeh ladki hai ya tezaab banane ka formula?
Apna toh seedha hisaab hai ... pati toh pati, varna rakhi ready
Joh thappad dikhayi nahi deta ... woh zyada gehri chot karta hai
Is chaku se aaj tak kaddu, tinde aur tamatar katte aaye hain ... lekin aaj, aaj main katunga
Makaan tha kabhi, ab khandar viran lagta hai ... tera thopda Panipat ka maidan lagta hai
Ladki thi jawaan, mamla tha sangeen ... jana tha Japan, pahunch gayi Cheen
Bachpan mein mujhe sikhaya gaya tha ... kisi airi gairi cheez ki mooh nahi laga karte
Main kisi ke saath mazaak kar sakta hoon ... lekin uski izzat ke saath nahi khel sakta
Pyar ki keemat aatey daal ke taraazo mein rakhkar nahi toli jaati ... sooli par chadkar aankhi jati hai
Isko din mein dikh gaya tara ... kya kheench ke chaata mara
Aaj mujhe pata laga hai ki main ek aise tangdil insaan ka beta hoon ... jiske paas apne bete ko dene ke liye aashirwad bhi nahi
Zamanat ho nahi sakti, shanivar ko itvar ko ... main kisi ko chhod nahi sakta, na dost ko na yaar ko
Hum saath jee nahi sake toh kya hua ... saath mar to sakte hai
Jise main jigar ka tukda samjhta tha, usne mere jigar ke tukde tukde kar diye ... jise main aankh ka tara samajhta tha, usne badnaami ka kajal banke mera mooh kala kar diya
Agar tumhare ishq ko koi laal jhanda dikhayega ... yakeen karo yeh ghalib unko dhanda dikhayega
Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah ... khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
