dialogues for show: Suhaag
show: Suhaag
1
Aaj tere ilzaamon ke barood se kasam ki woh dewaar toot hayi
Akhbaar khabaron se nahi ... balki masaledaar khabron se chalta hai
Bachpan kore kagaz ki tarah hota hai
Tu apne aap ko nilaam bhi karde ... toh mere zameer ki keemat nahi laga sakega
Shabdon ki talwar rishton ki woh dor kaat degi ... jise hum dono bandhe hai
Chhot dil par lagi thi aur dard ka sailaab ragon mein umad raha tha
Kaun hai woh jisne meri maa ke gale se mamta ka zevar utaarkar apne naam ka mangalsutra pehna diya ... kaun hai woh jiski lambi umar ke liye meri maa Karva Chauth ka vrat rakhti hai ... kaun hai woh joh meri maa ke dil mein mohabbat bankar aur mere dil mein nafrat bankar panap raha hai?
Aasoon peene se achcha hai aadmi sharab pee le
Khabardaar joh meri maa ke pair chuye kamine ... maa ke pairon tale swarg hota hai aur main tujhe in pairon ko chune ke kabil nahi samajhta
Har aurat ko bhabi aur har ladki ko behen kahunga ... sivah tumhare
Mere lahoo ko bana diya hai teri dua ne ab toh aag ... apna doodh na bakshna tu, joh na laya tera suhaag
Yeh woh kamina safed posh kasai hai ... joh peshe ki aad mein laashon ka karobaar kar raha hai
Waqt ne teri yadasht ko bhale hi khokla kar diya ho ... lekin tera diya hua har zakhm meri maa ke dil mein utna hi taza hai ... jitne mere daaman par mere baap ke aasoon
Jitna khoon mere haath se baha hai ... utna toh tune maa ka doodh bhi nahi piya hoga
Aap hi jaise logon ki buzdili ki kok se nikli hui najayaz aulaaden hai yeh
Kisi bhi achchi cheez ko mashoor hone mein waqt lagta hai
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
