Dialogues for Show - Zamane Se Kya Darna (1994)

dialogues for show: Zamane Se Kya Darna

show: Zamane Se Kya Darna
1 (of 1 pages) | 15 (of 15 items)
1
Bhairav Singh jahan jata hai ... tabaahi ka toofan aata hai
Kichad toh kisi bhi sabun se dhul sakta hai ... lekin tumhare dimaag mein joh amiri ka kichad bhara hai na ... woh kisi sabun se nahi dhul sakta
Joh insaan wafaadar aur gaddar mein fark nahi samajh sakta ... woh maalik hone ke layak nahi ho sakta
Naukar maalik par ehsaan nahi ... sirf namak ka farz ada karta hai
Is dharti par aisa koi ghoda paida nahi hua ... jiski savari main nahi kar sakta
Kichad uchhalne par kichad hi milta hai
Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai
Aajkal logon ko aisa accountant chahiye ... joh hisaab barabar bhi rakhe aur zaroorat aane par hisaab barabar bhi kar sake
Chaddi mein kar dena, dhoti mein kar dena ... magar raaste mein kabhi nahi karna
Main kaam ko puja maanta hoon ... aur kaam karne wali jagah ko swarg
Zindagi aur maut ka faisla toh uparwaale ki kalam se hua karta hai ... aap jaise rayeeso ki bandook se nahi
Ghoda jitna bhi adyal ho ... uspar savari karne ka utna hi mazaa aata hai
Pyar ka badla pyar aur dosti ka badla dosti ... yeh mera usool hai
Train mein safar kiya, plane mein safar kiya, caron mein safar kiya ... magar kisi bhi safar ka itna mazaa nahi aaya jitna in baahon ke safar mein aa raha hai
Roohein toh kamzarf aur buzdil insaanon ki kaapti hai
1

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.