Dialogues for Show - Barsaat (1995) - PartyStuff

dialogues for show: Barsaat

show: Barsaat
1 (of 1 pages) | 14 (of 14 items)
1
Aadmi ke vichaar aur harkaton ka shehar ya jungle se koi sambandh nahi hota ... aur na hi ameeri gareebi se koi vasta
Jitna woh Negi ko tarsayega ... utna hi Negi usse tadpayega
Gurrao mat ... hamare samne joh gurrate hai ... hum unki khaal udhadwakar us mein bhusa bharwa dete hai
Pyar mein khud pe barchiyan chale toh koi gham nahi ... magar pyar ko koi gaali de toh uska taitwa nikaal ke junglee kutton ko daal do
Agar daayen baayen ke chakkar mein nishana chook gaya ... toh main aapko tadapne ka mauka bhi nahi doonga
Joh pyar karte hai woh sar jhukakar nahi sar uthakar baat karte hai
Pyar karne waale kisi ke mana karne par kab ruke hai ... yeh dil toh pagal deewana hai, yeh toh pyar karega ... yeh na kabhi dara hai duniya se, na kabhi darega
Saat lakh kya, saat crore kya ... main toh saat janamon mein bhi uski ek muskaan na bechun
Jisse dekho sharif aadmi dhoondta hai ... kyun ki ek sharif aadmi ki wajah se dus badmaashon ka ghar chalta hai
Kuch dard aaise bhi hai jinse tum waqif nahi ... aaise dard jisse Tina ki toh kya ... insaan ko khud apni pehchan tak bhula dete hai
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Main yahan dosti karne aaya hoon ... ghulami karne nahi
Hum tumhe aaisi maut denge ... ki log kutte ko bhulakar tumhari maut ki misaal diya karenge
Pyar jab bagawat par utar aata hai ... toh koi taqat usse nahi rok sakti ... na insaan ki, na kudrat ki
1

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.