dialogues for show: Joru Ka Ghulam
show: Joru Ka Ghulam
1
Chehra dil ka aaina hota hai
Har daaku mein ek Valmiki hota hai
Insaan is duniya mein insaan bankar rahe ... yahi uske liye kaafi hai
Beti ki shaadi baap ke liye swarg jaane ki seedi hoti hai
Ladkiyon ka asli ghar unka mayka nahi ... unka sasural hota hai
Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Saaya andhere mein saath chhod deta hai ... aur naseeb bure dino mein saath chhod deta hai
Kutte ko ghee aur chor ko izzat ... kabhi hazam nahi hoti
1
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
