Kitty Party dialogue for Tag - Enemy - Dialogue - PartyStuff

dialogues for Tag: Enemy

Tag: Enemy
1 (of 9 pages) | 32 (of 264 items)
1 2 9
Dushman te jeetan te badi veerta hai, apne mann ne jeetna
by: Unknown
from: Border 2 (2026)
code:
Fauji ke liye border sirf nakshe par kheenchi huyi ek lakeer nahi hai ... balki ek vaada hai apne desh se ... ke jahan woh khada hai uske aage koi nahi jayega ... na hi koi dushman, na uski goli, aur na hi uska iraada
Jung mein jab dushman samne ho, toh baaton mein waqt zaya nahi karte
Jiske tere jaise dost ho na ... woh dushman ke ghar shift ho jaye, wohi behtar hai
Main Hindustan ki mitti se jhuda hua woh desh bhakt hoon, joh apne desh ke dushmano ko mitti mein mila dega ... I am the son of the soil
Kundli mein shani, ghee ke saath honey, aur Ravikumar se dushmani ... sehat ke liye hanikarak ho sakti hai
Dushman chahe jitna khatarnak kyun na ho ... Ravikumar jaisa dhurandar ho nahi sakta ... talaab chahe jitna gehra kyun na ho ... woh kabhi samundar ho nahi sakta
Jab apne hi shamil ho dushman ki chaal mein ... toh sher bhi phas jaata hai kutton ki jaal mein
Dard mitane ka sabse aasaan tareeka kya hota hai ... apna dard dushman ko lauta do
Kehte hai ek naya dushman aksar ek purana dost hota hai
Zindagi ki sabse mushkil ladaiyan dushmano se nahi ... apno se ladi jaati hai
Agar hasratein aukaat se zyada badh jaye na ... toh tabahi ke liye dushman ki zaroorat nahi padti
Joh haath aasman choomti imaratein banate hai ... joh haath loha pighlate hai ... woh dushman ke gale tak bhi jaate hai
Agar hum pul, sadak, hawai adde banakar duniya ke ek kone ko doosre kone se jodh sakte hai ... toh apne dushman ko duniya ke kisi bhi kone se uthakar todh bhi sakte hai
Meri dosti layak koi yaar nahi ... meri dushmani jhel sake aisi talwar nahi
Dushman ko harane ka mauka aksar dushman humko khud deta hai
Agar lamba jeena chahte ho toh dushman ki izzat karna seekho ... chahe woh kitna bhi kamzor kyun na ho
Hai liye hathyar dushman taak mein baitha udhar ... aur hum taiyaar hai seena liye apna idhar ... khoon se khelenge Holi, ghar watan mushkil mein hai ... sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Jab dushman ko hara na sake aur khud ki haar manzoor na ho ... toh ek hi raasta bachta hai ... sulah
Main fan ke dil mein aata hoon aur dushman ke dimaag mein
Criminal ko arrest karke case khatam hota hai ... criminal nahi ... woh kabhi na kabhi dushman bankar phir vapas lautta hai
Aapke dushman pe humne aisi dushmani nikali hai ... ki agar woh dushman bhi apne dushman ko dekh le na ... toh woh apni dushmani bhoolke us dushman pe taras khane lagega
Paise se dushmani badh sakti hai ... pan dushmani se paisa nahi badh sakta
Dost ki dosti par se yakeen khona aasaan hai ... dushman ki dushmani par se yakeen khona aasaan nahi hai
Ladne se sirf dushman khatam hota hai ... aur pani pilane se dushmani
Jinke dushman nahi hote ... unke apne hi dushman hote hai
Hindustani aadmi ka imaan koi paan supari nahi ki khaya aur thook diya ... dushman ki gardan pakad leta hai yeh imaan ... aur tab tak nahi chhodta jab tak ki dushman ke pran na nikal jaaye
Hamare business mein dushman jitne kam ho ... utna hi business badta hai
Agar samne wale ke andar darr pehda karna hai na ... toh apne andar ka darr nikalna hota hai
Faujiyon ko do hi cheezon ka toh intezar rehta hai ... dushman ki goli aur ghar se aayi chitthi
by: Sonu Sood
from: Paltan (2018)
code:
Ek fauji is liye jung nahi karta hai kyun ki woh samne wale se nafrat karta hai ... woh jung is liye karta hai kyun ki jinko woh peeche chhod aaya hai na ... unse woh pyar bahut karta hai
by: Sonu Sood
from: Paltan (2018)
code:
Aashiq aur waqt ki badi hi dushmani hai ... jab insaan aashiq ban jaata hai toh waqt kat'ta nahi hai
1 2 9

Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.