dialogues for Tag: Poem
Tag: Poem
Tumhe mohabbat hai mujhse main jaanti hoon magar ... ishq hi mujhko bhi ho yeh zaroori toh nahi ... tum apni vehshat mein utha lo shehar sar pe ... main bhi dard mein karahun yeh zaroori toh nahi ... laazmi hai ke tumhara qais daraye mujhko ... par main dar hi jaaun yeh zaroori toh nahi ... tum mandir mein, shivalon mein patak lo maatha ... mukti mil hi jaye yeh zaroori toh nahi
Main yahan aaya kyun, why why why ... acha ab chalta hoon, bye bye bye ... haaye hukku, haaye hukku, haaye haaye ... yeh Tulsi mere saamne mere dil liye jaaye jaaye
Shayari ki rooh alfaaz nahi, jazbaat hai ... logon ke dil mein utro toh baat hai
Shayari mein aur ishq mein farak nahi hai pyare ... dono hi mein shuruvaat mein lafz se sirf wah-wah nikalti hai ... aur jab gehrayi mein jaao toh dil se aah-aah hi nikalti hai
Mehakte lafzon ko ghazalon mein dhaal sakta hoon ... main kagazon se bhi khushboo nikaal sakta hoon ... tu meri jeb mein rakhe huye kalam pe na jaa ... main waqt aane pe chaaku bhi nikaal sakta hoon
Jeb mein kalam rakhne se shayar nahi banoge ... kalam zakhmon pe rakhni padti hai
Bichad gaye toh yeh dil umr bhar lagega nahi ... lagega lagne laga hai, magar lagega nahi ... nahi lageya usse dekh kar, magar woh khush hai ... main khush nahi hoon, magar dekh kar lagega nahi
Janta ki roke raah, samay mein dhaav kahan ... singhasan khali karo ki janta aati hai ... do raah samay ki rath ka, ghar ghar naad suno ... singhasan khali karo ki janta aati hai
Gham ki badli mein chamakta ek sitara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... humko gairon ka nahi apna sahara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... gardishon se haarkar o baithne wale, tujhko khabar kya apne pairon mein bhi hai chaale ... par nahi rukte ki manzil ne pukaara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... yeh kadam aise joh sagar paat dete hai ... yeh woh dhaarayein hai joh parvat kaat dete hai ... swarg un haathon ne dharti par utaara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai ... sach hai, dooba sa hai dil jab tak andhera hai ... is raat ke us paar lekin phir savera hai ... har samundar ka kahin par toh kinara hai ... aaj apna ho na ho par kal hamara hai
Mann ke jeete jeet hai, mann ke haare haar ... haar gaye joh bin lade, un par hai dhikaar ... un par hai dhikaar joh dekhe na sapna ... sapno ka adhikaar asal adhikaar hai apna ... apno ki khatir karna kuch aaj humein ... ajar, amar kar dena hai swaraj humein ... tu maati ka laal hai, koi kankad ya dhool nahi ... tu samma badal ke rakh dega, itihaas likhega bhool nahi ... tu bhor ka pehla taara hai ... partivartan ka ek naara hai ... yeh andhkaar kuch pal ka hai ... phir sab kuch tumhara hai
Pehli mulaqat mein hi hum kitne kareeb the ... kabhi ajnabi ban jayenge yeh socha na tha ... mohabbat mein dooriyan bhi maza deti hai yeh suna tha magar ... itne faasle ho jayenge yeh kabhi socha na tha
Toote hue sapne ki sune kaun siski ... antar ko cheer vyatha palkon par thitki ... aasun na bahaunga, sirf muskuraunga ... keh dena bhagya se ke main kal laut aaunga
Musafira sa dil mera ... tu mili tham gaya ... meharbaan joh tu hua ... khushi mili, gham gaya ... pehle sa kuch bhi hai nahi ... lagun main khud ko ajnabi ... tere kareeb hoon ... naseeb yoon dhadke hai abhi
Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz ... rozmarra ki zaroorat kaagaz ... aane jaane ki sahulat kaagaz ... jeene marne ki izazat kaagaz ... pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki ... kaam ki arziyan bhi kaagaz ki ... jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki ... jism ki mandiyan bhi kaagaz ki ... bane naaton ka bhi gawah kaagaz ... kahin shaadi, kahin nikah kaagaz ... kahin talaak ka gunah kaagaz ... banaye aur kare tabah kaagaz ... cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz ... poche aankhon ki bhi nammi kaagaz ... har jagah yoon hai laazmi kaagaz ... jaise ghar ka hai aadmi kaagaz ... kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi ... baarishon mein hai naav kaagaz ki ... sardiyon mein alaav kaagaz ki ... aasman mein patang kaagaz ki ... saari duniya mein jung kaagaz ki
Jack and Johnny went up the hill to live in love and laughter ... Jack ki leli papa ne aur Johnny chup gaya bhaagkar
Ek hi rasta hai jispe chup-chap sar ko jhukaye huye, band aankhen kiye log chalte hai saare janam ... jaante bhi nahi, sochte bhi nahi, poochte bhi nahi ... unko yeh rasta lekar kahin jayega ya kahin bhi nahi ... chalte chalte kahin ek modh aata hai, seedhe raste se bilkul alag ... koi deewana hi hota hai joh ki udhar jaata hai ... varna baki toh sab seedhe raste pe hi apne saare janam chalte hai ... sar jhukaye huye, band aankhen kiye, aur ek dukh liye ... modh joh dekha tha uspe mudh jaate hum toh na jaane kahan tak pahunch paate hum
Is basti mein saari palkein geeli kyun hai ... din patreele raatein zehareeli kyun hai ... kyun bebas hai, jhunjulaya hai joh bhi yahan hai ... kyun lagta hai yeh basti ek andha kuvaan hai
Kehne ko hum paas hai par kitni doori hai ... yeh bhi kaisi majboori hai ... tumse hamdardi bhi nahi kar sakta main ... mere bas ki baat nahi hai ... main yeh behte aansun poochun, itni meri aukaat nahi hai ... main bhi yahin hoon, tum bhi yahin ho ... par sach yeh hai main hoon kahin, tum aur kahin ho ... kehne ko hum paas hai par kitni doori hai ... yeh bhi kaisi majboori hai
Joh vaadiyon mein utar rahi hai gagan se aakar ... joh parvaton par bikhar rahi hai safed chaddar ... wohi toh main hoon ... joh in darakhton ke sabz patton pe khelti hai ... joh oos bankar har ek mausam ko jhelti hai ... wohi toh main hoon
Main tenu phir milangi ... shayad ek khayal banke tere mann mein jotrangi ... ya tere mathe di lakeer banke khamosh tenu takhti rawangi ... main tenu phir milangi ... kithe, kis tarah, pata nahi ... main tenu phir milangi
Maut ko dekha pairon ki dhool ki tarah ... taqdeer ko thukrane wale sultan ki tarah ... chingaari pair se dabake dhaar-dhaar khanjar pe chalke ... dil mein joh dar utha usse maarke ... jigar walo ki fauj bankar dushman pe chha gaya ... kaal ka karne vinaash mahakaal aa gaya
Zaroori baat kehni ho ... koi vaada nibhana ho ... usse awaaz deni ho ... usse wapas bulana ho ... hamesha der kar deta hoon main ... kisi ko maut se pehle kisi gham se bachana ho ... haqeeqat aur thi kuch usko jaake yeh batana ho ... hamesha der kar deta hoon main
Mann bairaagi, tann anuragi, kadam kadam dushwari hai ... jeevan jeena sahal na jaano bahut badi fankari hai ... auron jaise hokar bhi hum ba-izzat hai basti mein ... kuch logon ka seedhapan hai, kuch apni aiyaari hai
Raah kaunsi jaaun main ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir, pyaade se pitt gaya wazir ... chalo aakhri chaal ke chaal koi bichaun main ... sapna janama aur mar gaya ... basant ritu main baagh jadh gaya ... do din mile udhaar mein ... ghaate ke vyapar mein ... chaurahe pe lut'ta cheer ... pyaade se pitt gaya wazir
Aasman pe utha sailaab ... chand jale joh aftab ... aag ke dariye mein doobke joh na huye paar ... ek saans reh jayegi udhaar
Log har peshe mein khudko ghulam kehte hai ... hum ishq karne wale shayari ko kaam kehte hai
Joh lada jung ke maidan par wohi shaheed hua ... lekin joh lada hi nahi woh pehle hi gaya ... samman ki is ladai mein apmaan bhi hoga ... lekin joh apni nazaron se girega woh atmasamman se bhi gaya ... besharamon ki is basti mein ab humne toh thaan li hai ... tann pe rahe na ek bhi kapda lekin izzat humne apni zaroor bachani hai
Ab tak sab khayali tha, abhi abhi toh jaage re ... tu hi sach, jhuk gaya tere aage re ... ab tu na chhod mirza ko, tujh bin jholi khaali re ... O sahiban ejire ki chhot hai laagi re
Mohabbat kis chiddiya ka naam hai, humein bhi batana ... bhor saver woh kabhi gungunaye, toh humein bhi sunana ... dikh jaye toh dikhana ... kisi roz kabhi aangan aaye, behla phuslake rok toh lenge ... mishri ki daaliyan apne haathon se uski chonch mein denge ... sikha denge usse hamara naam daurana ... seekh lenge bina parwah kiye udh jaana ... suna hai kaante pe dil khop gulaabon mein rakht bhar deta hai ... jaan dekar dil mein ghar kar leta hai ... neend chura churake, chain jodh jodhke, ek gharaunda banata hai, aahon ke jhule jhulata hai ... phir jab do din sau saal se guzarte hai hum patjhad se bhikarte hai ... woh pinjre mein band chhod, rooh ko todh marodh kisi aur chajje pe ek naya geet gaata hai ... dana tum daalo woh kisi aur ko phasata hai
Qatra qatra saansein lee thi maine ... ek zindagi mein kayi zindagiyan jee thi maine ... khwaab khwaab dekhi zindagi ko ... aankh mein choli ki tarah khela tha maine ... agle modh par ek nayi zindagi thi ... uske intezar mein saansein thaam rakhi thi maine
Sirf hungama khada karna mera maqsad nahi, mera maqsad nahi meri koshish hai yeh soorat badalni chahiye ... aaj yeh deewaar parde ki tarah hilne lagi, sharat yeh thi lekin ki buniyaad hilni chahiye ... meere seene mein na sahi, tumhare seene mein sahi ... ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chahiye
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
