dialogues for Tag:
Tag:
Saiyaara matlab taaron mein ek tanha taara ... khud jalke joh roshan karde jag yeh saara
Agar dar jaunga toh zamana bhoolne nahi dega ... agar mar jaunga toh duniya yaad rakhegi
Jab jab dharti par aatank aur atyachaar badta hai ... tab tab dharti ko bachane kisi mahapurush ka janam hota hai
Tere is duniya mein aane ki wajah ek aurat thi ... zyada herogiri dikhayega na toh tere is duniya se jaane ki wajah bhi ek aurat hi hogi
Duniya ko sirf udti patang dikhti hai ... lekin us patang ko wahan tak pahunchane wali dor kisi ko nahi dikhti
Science, vigyaan, ek aisi mashaal joh duniya ko andhere mein rasta dikha sakti hai ... lekin agar galat haathon mein pad jaye toh usse jalakar raakh bhi kar sakti hai
Jab jab is duniya mein andhere aur roshni ke beech jung huyi hai ... us mein ek dhaal bankar, ek kavach bankar, is duniya ki rakhsha karne ke liye ek soldier hi khada hua hai
Yeh duniya bahut hi ajeeb hai ... yahan joh jaisa dikhta hai, vaisa hota nahi hai ... aur jaisa hota hai, vaisa dikhta nahi hai
Agar hum pul, sadak, hawai adde banakar duniya ke ek kone ko doosre kone se jodh sakte hai ... toh apne dushman ko duniya ke kisi bhi kone se uthakar todh bhi sakte hai
Shiksha woh khidki hai joh kholo toh duniya ko dekhne ka aapka nazariya badal jaata hai
Bharat ek desh mein do duniya hai ... ek ujaale ki aur ek andhere ki
Dil ki sun, dil ki maan ... bhaad mein jaye duniya jahaan
Jab khone ke liye kuch nahi hota na ... toh paane ko poori duniya hoti hai
Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi ... baarishon mein hai naav kaagaz ki ... sardiyon mein alaav kaagaz ki ... aasman mein patang kaagaz ki ... saari duniya mein jung kaagaz ki
Is duniya mein koi bhi banda aisa nahi hai ... jisne apni life mein koi apradh nahi kiya ho
Yeh world hai na world, is mein do prakaar ke log hote hai ... ek woh joh galat kaam nahi karte aur pakde bhi nahi jaate ... aur doosre woh joh galat kaam toh nahi karte, par bechare phir bhi pakad liye jaate hai
Yeh world hai na world, is mein do tarah ke log hote hai ... pehle woh joh rasta seedha pakadte hai aur har raat chain ki neend sote hai ... aur duje woh joh rasta tedha pakadte hai aur har raat aise jeete hai jaise ki woh unki aakhri raat ho
Yeh world hai na world, is mein do tarah ke log hote hai ... pehle woh joh darshak banke khel ka lutf lete hai ... aur doosre woh joh maidaan mein utarke khelte hai, aur khel ka rukh badalte hai
Kuch logon ko pata hota hai ki kya karna hai, kahan jaana hai ... aur woh apne taqdeer se lad-jagadkar apna maqam bana hi lete hai ... aur kuch logon ko kainaat chunti hai ... unhe bas us chunne huye raste pe chalna hota hai
Poore brahmand mein bina koi kaaran kuch ghatta nahi hai
Humko duniya vaisi hi nazar aati hai jaise hum khud hote hai
Agar mere bhai ko kuch hua na ... toh kasam hamare baap ki ... tumhare desh ko is duniya ke nakshe se mitta dunga
Duniya dekhne se zyada na ... main chahti hoon ki duniya mujhe dekhe
Is matlabi duniya mein agar koi bematlab ki baat bol jaaye ... toh us betmatlabi baat ka bhi bahut bada matlab hota hai ... aur tum jaise matlabi insaan ke saath rehne ka yeh matlab hai ki ... saari duniya ka matlab samajh mein aa jaata hai
Poori duniya se kaho copy that
Duniya tikka hai siddhanto par ... par chalta settlement se hi hai
Duniya mein jitni bheed badhti jaa rahi hai ... log utne hi akele hote jaa rahe hai
Duniya mein har koi galat hai ... aur sahi woh hai joh kam galat hai
Logon ka yeh maanna hai ki duniya mein sirf saat kahaniyan hai ... lekin main yeh maanta hoon ki duniya mein jitne log hai utni hi kahaniyan hai
Aap mote, kaale, naate, ganje, chahe jaise bhi dikhte ho ... agar aap apne aapse pyar karenge toh duniya bhi aapse pyar karegi
Jab chote the toh sochte the ki duniya badal denge ... vade huye toh samajh mein aaya ki duniya ko samajh le, yehi kaafi hai
Mann chahta hai ke is waqt kuch aisa ho jaye ... ki yeh duniya so jaye ... bas tum aur hum jage rahe ... aur uske baad yeh duniya hamesha soti rahe
Collection of dialogues from Indian Bollywood Movies, Dramas, Web Series, Daily Soaps, TV Serials for Parties.
