1 Patjhad ke baad aate hai din bahaar ke ... jeena kya jeevan se haar ke
by Anil Kapoor () 2 Is duniya mein chahe woh insaan ho yah makaan ho ... ek din mitt hi jaata hai ... nahi mitta hai toh woh hai pyar
by Waheeda Rehman () 3 Jab tu chota tha, bol nahi sakta tha ... toh mujhe teri har baat samajh mein aati thi ... ab tu itna bada ho gaya hai, aur har lafz saaf saaf bolta hai ... toh mujhe teri koi baat samajh mein nahi aati
by Waheeda Rehman () 4 Ghar se door raho toh ehsaas hota hai ... maa kya hoti hai, ghar waale kya hote hai
by Fardeen Khan () 5 Pyar toh zindagi hai, ek ehsaas hai ... jis mann ko chu jaata hai us mann mein bas jaata hai ... hamesha ke liye, zindagi bhar ke liye
by Anil Kapoor () 6 Agar apni jeet ka asli mazaa lena hai ... toh uski tulna kisi doosre ki haar se mat karo
by Anil Kapoor () 7 Kai baar logon ke liye yeh faisla karna mushkil ho jaata hai ... ki hamara dil bada hai yah hamara bungla
by Fardeen Khan () 8 Sach ko sach banane ke liye do logon ki zaroorat hoti hai ... ek joh sach bol sake aur doosra joh sach sun sake
by Anil Kapoor () 9 Aadmi apne jazbaat aur utavalepan se nahi ... apni mehnat aur dimaag se kamyab hota hai
by Shishir Sharma () 10 Pyar ki taqat daulat ki taqat se oonchi hoti hai
by Anil Kapoor () 11 Kahani ke anth mein sab thik ho jaata hai ... aur thik na ho toh samjho kahani khatam nahi hui
by Fardeen Khan ()