1 Ek aurat ke liye pyar karne mein aur uska izhaar karne mein koi farak nahi hai ... lekin mardon ke liye pyar karna bahut aasaan hai, pyar ka izhaar karna bahut mushkil
by Tanuja () 2 Jab hum budhe hone lagte hai toh hamari aankhen kamzor ho jaati hai ... lekin hamare dil ko pehle se zyada saaf nazar aata hai
by Tanuja () 3 Aadmi ke peeche bhaagna, usse khud se door bhagana hai ... usse bhaagne do tumhare peeche
by Tanuja () 4 Aadmi ka dhyan paana ho ... toh usse dhyan mat do
by Tanuja () 5 Aadmi se hamesha ek baat chupake rakhna ... ki us mein tumhe dard pahunchane ki taqat hai
by Tanuja () 6 Zindagi mein pyar hi woh ek cheez hai jiske liye aapko koi bhi keemat chukani padhe ... woh kam hai
by Asif Basra () 7 Hamara dil woh dekh sakta hai joh hamari aankhen nahi dekh paati
by Tanuja () 8 Khoobsurat hona nahi ... khoobsurat banna zaroori hai
by Unknown () 9 Yeh pehli nazar ka pyar achche achchon ko dokha deta hai
by Unknown ()