1 Dil ki aawaz kaano se nahi dil se suni jaati hai
by Salman Khan () 2 Dost nahi badalte ... waqt badal jaata hai
by John Abraham () 3 Haan main cheating karta tha, par sirf khel mein ... tune toh zindagi ko khel samajh ke mujhe cheat kar diya
by Amitabh Bachchan () 4 Yeh sach hai ki jagah ki dooriyan ... aksar dilon ki nazdikiyan ban jaati hai
by John Abraham () 5 Matlab nikal gaya toh pehchante hi nahi ... ladki kya mili hum mein jaante hi nahi
by Rajpal Yadav () 6 Pyar mein waqt ki koi seema nahi hoti
by John Abraham () 7 Kisi bhi insaan ki zindagi mein woh din, woh pal, sabse zyada khushgawar hota hai ... jab uska beta uski zimedariyan baantne lage ... uski kursi par baithe
by Amitabh Bachchan () 8 Bahu ko beti manna agar pagalpan hai, toh main pagal hoon ... uske aasoon pochna agar pagalpan hai, toh main pagal hoon ... uski andheri zindagi mein khushiyon ki roshni bharna agar pagalpan hai, toh haan main pagal hoon
by Amitabh Bachchan () 9 Jis din main baap ban gaya na ... main apne bachche se chun chun ke gin gin ke badle loonga
by Salman Khan () 10 Paramparaon ki lakeerein jab dhundli padh jaati hai ... toh nayi lakeerein kheenchne se parhez nahi karna chahiye
by Om Puri () 11 Rangeen kapde pehenne se zindagi ke khoye rang vapas nahi aate
by Rani Mukherjee () 12 After every sunset there's a sun rise ... ek naya din, ek nayi umeed, ek nayi shuruvat
by Salman Khan () 13 Yeh kambakht mohabbat hai hi badi musibat waali cheez ... aksar imtehaan leti hai ... lekin khushiyan bhi deti hai
by Amitabh Bachchan () 14 Beeta hua kal toh ek khwab hai ... uska na koi chehra hota hai na wajood hota hai ... sach toh sirf tumhara aaj hai aur tumhara aane waala kal
by Sharat Saxena () 15 This is a race between man and machine ... he may have the better machine but I'm a better man
by Salman Khan () 16 Sirf saansein lene ko jeena nahi kehte
by Amitabh Bachchan () 17 Mere liye zindagi mein na pyar ki jagah badal sakti hai na dosti ki ... dono ki jagah alag alag hai ... lekin tumne to dosti mein hi pyar ki milavat shuru kar di
by Rani Mukherjee () 18 Kisi ko khush karne ke liye samjhauta karna insaan ki sabse badi kamzori hoti hai
by Rani Mukherjee () 19 Aksar yeh bhi hota hai ki jagah ki dooriyan ... rishton ko aur bhi mazboot bana deti hai
by John Abraham () 20 Dil ke maamle mein dimaag ka istemaal nahi karna chahiye ... uljane badh jaati hai ... dil ke mamle mein dil ka istemaal karna chahiye
by John Abraham () 21 Kya yeh theek hai ki paramparaen banane waala insaan hi paramparaon ki bali chadta rahe ... paramparaen jeeye insaan marta rahe ... paramparaen badi zindagi kuch bhi nahi hai?
by Amitabh Bachchan ()