1 Kismat aadmi ko dokha de sakti hai ... lekin bhagwan aadmi ko dokha nahi deta
by Kishore Kumar () 2 Bekaar aadmi phatte huye tube ki tarah hota hai ... lekin mushkil toh yeh hai ki tube ka puncture phir bhi judh sakta hai ... lekin bekaari ka puncture nahi judhta
by Johnny Walker () 3 Aye jawaano zindagi resham bhi hai talwar bhi ... muskurata phool bhi hai aur khatakta haar bhi ... chaand suraj ki tarah yeh garam bhi hai sard bhi ... apni aankhon ka hai aasoon doosro ka dard bhi ... raaste mein aman ki mashaal jalane ke liye ... hum toh jeete hai watan ke kaam aane ke liye
by Unknown () 4 Aulad ki taqdeer maa ke aasoonyon se hi chamakti hai
by Kishore Kumar () 5 Duniya ki har jagah mohabbat ki nigahon mein pyari hoti hai
by Kishore Kumar () 6 Zindagi ki raahon mein thokarein wohi khate hai ... joh oonche hokar chalte hai
by Meena Kumari () 7 Duniya mein tumhe sab kuch mil jayega ... lekin mohabbat bhara dil nahi milega
by Pran () 8 Uda de neend aankhon ki kahani usko kehte hai ... jalakar khaak kar dale jawani usse kehte hai
by Unknown () 9 Tarakki karne waala ek hota hai aur uske dushman hazaar hote hai
by Johnny Walker () 10 Zindagi milti hai kaanton se guzarne ke liye ... phool khilte hai gulistan ke savarne ke liye
by Unknown () 11 Prithvi ka dil hai aur sanjogta ka pyar hai ... bas yahi tareekh hai, baki toh sab bekaar hai
by Unknown () 12 Tere golden face ki beauty ne mere gentle heart ko loot liya ... teri zulfon ke net mein faskar maine night sleeping chhod diya
by Unknown () 13 Mohabbat ki ek manzil nahi hoti
by Kishore Kumar () 14 Mere piya ka laal kabootar parbat parbat udta hai ... pooch lo usse sara naksha saanj bhay woh udta hai
by Unknown () 15 Kambakht dil nahi badalta ... magar dil ke tukde badal jaate hai
by Unknown ()