1 Na yeh sarkari hai, na gair kanooni ... na yeh neta hai, na koi terrorist ... kaam se hero, naam se villain ... yeh hai Gabbar
by Unknown () 2 Haddiyan todne mein woh mazaa nahi ... joh teri akad todne mein hai
by Akshay Kumar () 3 Pachas pachas kos door jab koi rishvat leta hai toh sab kehte hai mat le varna ... Gabbar aa jayega
by Akshay Kumar () 4 Mujhe pasand hai woh log joh mujhe pasand nahi karte ... himmat rakhte hai aaise log
by Unknown () 5 Joh mere kaam ka nahi ... uska is duniya mein koi kaam nahi
by Unknown () 6 Rishvat li toh Gabbar maar dega ... nahi li toh main maar doonga
by Unknown () 7 Har ek student government officer nahi banta ... lekin har government officer student zaroor hota hai
by Akshay Kumar () 8 Is baar haath nahi ... saath chahiye
by Akshay Kumar () 9 Ab Gabbar ka PWD chalega ... power wala danda
by Akshay Kumar () 10 Sabke karam samne aayenge ... woh kya hai na karma rishvat nahi leta
by Akshay Kumar () 11 I hate sorries!
by Akshay Kumar () 12 One kiss burns many calories ... want to lose some weight?
by Akshay Kumar () 13 Achcha lage toh welcome ... bura lage toh bheed kam
by Akshay Kumar () 14 Society criminals ke kuch karne se barbaad nahi hoti ... society tabaah hoti hai ek capable aadmi ke kuch na karne se
by Shruti Haasan () 15 Har woh aadmi joh galat dekhkar aankhen nahi pherta ... woh Gabbar hai ... joh ghoos dene waale ko ghus-ghuske maare ... woh Gabbar hai ... joh sarkari aadmi aircondition room mein behatkar logon ko tang karte hai, unka pasina chhudvaye ... woh Gabbar hai
by Akshay Kumar () 16 Janwaron ko tehzeeb sikha di hum insaano ne ... ab insaano ko insaaniyat sikhane ke din aa gaye hai
by Akshay Kumar () 17 Saare kaam bhagwan khud nahi karta ... kuch kaam hum jaise shaitano ke liye chhod deta hai
by Akshay Kumar () 18 Jahan sau log milke aapki zindagi barbaad karte hai ... woh hai shaadi ... lekin jahan ek crore log milke sare desh ko barbaad karte hai ... woh hai corrupt sarkar
by Akshay Kumar () 19 Seedhi tarah paisa de ... varna chaabi waala taala nahi seal waala taala lagaonga
by Akshay Kumar () 20 Rishvat nariyal jaisa ho gaya hai ... har kaam se pehle dono ka chaddava zaroori hai
by Akshay Kumar () 21 Doosron ki naukri aur apni akal sabko achchi lagti hai
by Unknown () 22 Main toh mar jaonga ... tera kya hoga Kaalia?
by Akshay Kumar () 23 Purani sharaab aur purani yaadein jab sar chadd jaati hai ... tab aadmi out of control ho hi jaata hai
by Unknown () 24 Aag bhuj bhi jaye na tab bhi kahin na kahin andar chingari dahekti rehti hai ... joh kabhi bhi aag ban sakti hai
by Unknown () 25 Ek baimaan ki aankhen band karo ... toh baaki saare baimaano ki aankhen apne aap khul jaati hai
by Akshay Kumar () 26 Har friday jab ek film release hoti hai ... us hi ke saath hi ek sarkari officer bhi release hoga ... ya toh corruption se, ya duniya se
by Akshay Kumar () 27 Hamara system bachon ke diaper ki tarah ho chuka hai ... kahin thoda geela aur kahin se thoda dheela
by Akshay Kumar () 28 Jahan hum log behate hai wahan aam aadmi ki sirf arziyan pahunchti hai ... awaaz nahi
by Unknown () 29 Sarkari departments ne aam aadmi ki zindagi newspaper jaisi bana di hai ... subah kamot pe palatne se shuru hoti hai aur raat tak raddi banke kisi kone mein padhi milti hai
by Akshay Kumar ()