1 Musibat aur zindagi ka kehte hai chitta tak ka saath rehta hai
by Dev Anand () 2 Na sukh hai, na dukh hai, na deen hai, na duniya, na insaan, na bhagwan ... sirf main hoon, main hoon, main hoon, main ... sirf main
by Dev Anand () 3 Lagta hai aaj har ichcha poori hogi ... par mazaa dekho ... aaj koi ichcha hi nahi rahi
by Dev Anand () 4 Jis jagah ko dekh kar parmatma ki yaad aaye ... woh tirth kehlata hai ... aur jis aadmi ke darshan se parmatma mein bhakti jage ... woh Mahatma kehlata hai
by Dev Anand () 5 Jab matlab se pyar hota hai ... toh pyar se matlab nahi rehta
by Waheeda Rehman () 6 Yaad mein nasha karta hoon aur nashe mein yaad karta hoon
by Dev Anand () 7 Joh aadmi apne naseeb ko kosta rehta hai ... uska naseeb bhi usko kosne lagte hai
by Dev Anand () 8 Maut ek khayal hai jaise zindagi ek khayal hai
by Dev Anand () 10 In logon ko mujhpe vishwas hai ... aur ab mujhe inke vishwas pe vishwas hone laga hai
by Dev Anand () 11 Dukh woh amrit hai jisse paap dhulte hai
by Unknown () 12 Main zubaan se lafzon ki tasveer khenchta hoon ... atith toh sab dikhate hai, main kabhi kabhi bhavishya bhi dikhata hoon
by Dev Anand () 13 Gandi naali se nikla hua pani ... kabhi Gangajal nahi ban sakta
by Unknown ()