1 Har sher mein alfaaz toh hote hai ... par har alfaaz shayari nahi ... pyar toh sab karte hai ... par har pyar junooniyat nahi
by Pulkit Samrat () 2 Ek hawa chhuke gayi abhi abhi ... chandni pighal abhi abhi ... yeh mujhe kya ho gaya ... yeh kahan main kho gaya
by Pulkit Samrat () 3 Pyar ek parchai ki tarah hai ... jab tak uski aadat padh jaati hai, shaam ho jaati hai
by Yami Gautam () 4 Jahan pyar hota hai wahan khalish nahi hoti ... aur agar khalish ho toh samjho pyar tha hi nahi
by Pulkit Samrat () 5 Jalte hai log na jaane kyun mere junoon se ... arre ek baar toh dekh liya hota mera hunar sukoon se
by Pulkit Samrat () 6 Pyar hai woh gehrai jise duniya samajh na payi
by Unknown () 7 Woh hawa joh tujhe chhuke gayi mujhe chhu jaaye, ek baar ... ek baar teri khushboo mujh mein simat jaaye, ek baar ... ek baar toh apne pallu se sehla ... ek baar toh apne rang phaila ... ek baar phir se deewana bana ... bas ek baar ... ek baar tere aansun meri hatheli mein tham jaaye ... ek baar teri hansi se mera aangan bhar jaaye, ek baar ... ek baar toh apna haath bada ... ek baar toh gale se laga ... chhu loon tujhe bas ek baar toh ho jaaye rab ka deedar, ek baar ... tu hai toh main hoon, tu hai toh hi hai yeh jaan ... ek baar, ek baar, bas ek baar
by Pulkit Samrat () 8 Ae dil tu kyun rota hai ... yeh duniya hai, yahan aisa hi hota hai ... aankhon se tapke aansun toh unhe chupaya ja sakta hai ... lekin jab dil roye, ae zalim toh kya kijiye
by Pulkit Samrat () 9 Tumhari zindagi mein ek din aisa zaroor aayega, jab tum neend se jagogi aur apni life ko phir se rewind karke jeena chahogi ... par tab waqt nahi hoga ... humein jeena hai toh aaj jeeye, ab jeeye, ek doosre ke saath jeeye ... taaki life phir kabhi rewind karne ki zaroorat na pade
by Pulkit Samrat () 10 Hum zindagi mein apni choice ke mutabik kuch nahi kar sakte ... yeh taqdeer, yeh kismat, yeh naseeb, destiny, yeh sab khel hai issi ka
by Unknown () 11 Love is sacrifice, tyaag, qurbaani ... kisi bhi junoon ke liye qurbaan ho jaana, that's love
by Unknown () 12 Uske intezar mein dard hai ... usse bhool jaane mein bhi dard hai ... lekin usse bhi zyada dard is confusion mein hai ki uska intezar karoon ya usse bhool jaaun
by Yami Gautam () 13 Pyar ka matlab hai juaa ... jeet gaye toh pyar ... haar gaye toh afsana
by Unknown () 14 You don't lose when you lose in love ... you lose when you run away from the fear of losing
by Unknown () 15 Insaan kayi baar shaadi kar sakta hai lekin sacha pyar sirf ek baar hota hai ... aur bade lucky hote hai woh log jinhe junooniyat ka pyar milta hai
by Gulshan Devaiah () 16 Brandy sharaab nahi hoti ... brandy toh jeene ka style hoti hai
by Unknown () 17 Pani ka jahaaz sabse zyada safe samundar ke kinare hota hai ... lekin jahaaz kinare khade rehne ke liye nahi ... lehron se joojne ke liye banta hai
by Yami Gautam () 18 Pyar shaadi nahi hoti aur shaadi pyar nahi hota ... pyar mein insaan andha, behra, goonga aur bewakoof banke reh jaata hai ... aur shaadi mein kaan, aankh, dimaag sab kuch khul jaata hai
by Unknown () 19 Pyar ko wahan nahi dhoondte jahan woh hota nahi hai ... aur jahan woh hota hai wahan chupaya bhi nahi ja sakta
by Gulshan Devaiah () 20 Aisi koi paheli nahi joh maine suljhai nahi ... joh na suljhe aisi fariyaad aayi nahi
by Pulkit Samrat ()