1 Hum hamesha sochte the ... jis se shaadi karenge na hum, uski zindagi ban jayegi ... par tumko dekhne ke baad humko aisa lagta hai ... ki jis se tumhari shaadi hogi na, uski zindagi ban jayegi
by Varun Dhawan () 2 Hamare desh mein bache ke janam se hi uski balance sheet ban'ne lagti hai ... ladka equal to asset ... ladki equal to liability ... asset ke janam ki khushi mein boondi ke laddu bat'te hai aur liability ke janam ke mauke pe saste pedhe ... ladka kitna bhi nalayak ho, uski value badhti hi jaati hai ... aur ladki kitni bhi honhaar ho, uski entry asset column mein nahi hoti
by Varun Dhawan () 3 Poore duniya mein sabse kamzor dil ek Indian baap ka hota hai
by Varun Dhawan () 4 Arre yeh tedha mooh karke kyun smile kar rahe ho ... Shahrukh Khan ho kya?
by Unknown () 5 Middle class baap se provident fund ke paise maangna ... unki kidney maangne barabar hai
by Varun Dhawan () 6 Prem ka samay toh kabka khatam ho gaya ... hum toh seedha shaadi rachayenge
by Varun Dhawan () 7 Tumhari mansik isthithi aaj thodi gadbad lag rahi hai ... hum kal phir aayenge
by Varun Dhawan ()