1 Main sari duniya se tumhare liye ladh sakta hoon ... lekin main tumse nahi ladh sakta
by Unknown () 2 Kabhi dosti rahi, kabhi dushmani rahi ... apne ishq ki taqdeer thodi kam hi rahi ... har baar koshish ki, har baar manaya khud ko ... shayad in haathon ki kismat kuch kam hi rahi
by Arbaaz Khan () 3 Kya hona chahiye aur kya nahi, yeh koi mayine nahi rakhta ... joh sachi mein hota hai na, wohi mayine rakhta hai
by Supriya Pathak () 4 Arz-e-niyaz-e-ishq ke kaabil nahi raha ... jis dil pe naaz tha mujhe, woh dil dil nahi raha
by Prem Chopra () 5 Phoolon ko chhuyenge toh kaante haath ko lagte hai ... lekin uski khoobsurati kam nahi hoti
by Arbaaz Khan () 6 Qatra qatra saansein lee thi maine ... ek zindagi mein kayi zindagiyan jee thi maine ... khwaab khwaab dekhi zindagi ko ... aankh mein choli ki tarah khela tha maine ... agle modh par ek nayi zindagi thi ... uske intezar mein saansein thaam rakhi thi maine
by Manjari Phadnis () 7 Jab suraj aankhen band kare, sajke nikalti hai Mumbai ... kabhi uljhati, kabhi girati, kabhi sambhalti hai Mumbai ... kabhi baap ka thappad, kabhi maa ki godh hai Mumbai ... tang galiyon ki bul-bulaiyan, kabhi phaila samundar hai Mumbai ... pal pal kachole badalti jhole ka pitara hai Mumbai ... sapno bhari aankhon ka, beghar banjaron ka, mohabbat ke maaron ka aasra hai Mumbai ... kabhi sangdil toh kabhi humdil ... pairon mein chakkar dale har pal daudti hai Mumbai ... maano toh maya nagri, na maano toh patthar ka shehar hai Mumbai
by Prem Chopra () 8 Log humein nahi chhodte hai ... hum logon ko chhodte hai
by Ashutosh Rana () 9 Kayi baar off-beat cheezein logon ko beat pe laati hai
by Manjari Phadnis () 10 Pyar kabhi cheena nahi jaata ... na hi khareeda jaata hai ... pyar toh sirf mehsoos kiya jaata hai
by Unknown () 11 Mumbai ki yahi problem hai ... aadmi koode ki jagah par behatta hai ... aur kooda aadmi ki jagah pe
by Prem Chopra () 12 Hosh nahi tha khoya abhi ... josh nahi tha soya abhi ... dil mein hausle the, aankhon mein sapne the, haath mein kalam thi ... zindagi ki dastaan abhi likhni baaki thi
by Manjari Phadnis () 13 Zindagi kabhi kabhi insaan ko umar se zyada umar daraz bana deti hai
by Manjari Phadnis () 14 Yahan aaj kal har shaksh, har pal haadsa hone se darta hai ... khilona hai joh mitti ka woh fanaa hone se darta hai ... hum sabke dilon ke kisi kone mein yeh masoom bache bachiyan ... hum badhon ki dekhkar duniya, bada hone se darte hai
by Prem Chopra () 15 Pyar mein bahut taqat hoti hai ... it can turn poison into medicine ... thorns into petals
by Unknown () 16 Joh sacrifice karta hai ... God usse sabse zyada pyar karta hai
by Unknown () 17 When you shake hands with somebody ... toh unke fingerprints sirf aapke haath par nahi ... aapke dil par bhi chhap jaate hai
by Arbaaz Khan () 18 Ya toh aap shikaar karte hai ya shikaar ho jaate hai
by Ashutosh Rana ()